affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Woh larki bhi ek ajeeb paheli thi

Friday, 22 March 2013

Woh larki bhi ek ajeeb paheli thi

Woh larki bhi ek ajeeb paheli thi
Pyase hont thay ankh samander jaisi thi
 Suraj us ko dekh ke peela perta tha
 Woh serma ki dhoop main dhul ker nikalti thi
 Us ko apne saye se dar lagta tha
 Sooch ke sehra main woh tanha hirni thi
Atay jate mausam us ko daste thay
 Hanste hanste palkoon se roo perti thi
 Adhi raat gunwa deti thi chup reh ker
Adhi raat ke chand se baatain kerti thi
Dur se ujare mandeer jaisa ghar uss ka
 Woh apne ghar main akloti devi thi!
 Moom se nazuk jism sehar ko dukhta tha
 Diye jala ker shab bher aap pighalti thi!
Taiz hawa ko rook ke apne anchal per
 Sookhe phool ikhate kerti phirti thi
 Sab per zahir ker deti thi bhaid apna
 Sab se ek tasweer chupaye rakhti thi
Kal shab chakna chur howa tha dil us ka
Yeh phir pehli baar woh khul ker roi thi
 Mohsin kiya jane kyon dhoop se be perwah
Woh apne ghar ki dehleez per bethi thi

Woh Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi

No comments:

Post a Comment