affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Mohabbat Aakhri Saya

Tuesday, 8 April 2014

Mohabbat Aakhri Saya

Bohut Ghoomi Jahan Bhar Main
Mujhey Awargi Lay Ker
Kabhi Sehra Samander Main
Kabhi Dunya Key Mailon Main
Kabhi Jungle Main Bhatkaya

Ajab Wehshat Lahoo Main Thi
Nazar Bhi Justojoo Main Thi
Kai Chehrey They Ankhon Main
Unhi Chehron Ki Khwahish Main
Her Ik Manzil Ko Thukraya
Sukoon Phir Bhi Nahi Paya

Bohut Ghooma Jahan Bher Main
To Phir Aakhir Khula Mujh Per
Woh Jis Ko Chor Aaya Tha
Main Apney Hijr Main Jalta
Wohi Sachi Mohabbat Thi

Usi Ki Yaad Key Moti
Baney Jeewan Ka Sarmaya
Mohabbat Aakhri Manzil
Mohabbat Aakhri Saya

No comments:

Post a Comment