affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai

Tuesday, 19 February 2013

Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai

Us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai
aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai

hum se na koi uljhe hum log hain deewane

andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai

hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne

is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai

ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se

ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai

basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein

itna jo kaha main ne aik shahar basana hai

aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai

kya janye is dil mein kis kis ko samana hai

kehne ko bohat kuch hai,  magar hum ne

aik wada nibhana hai aik dard chupna hai

No comments:

Post a Comment