affiliate marketing Famous Urdu Poetry: August 2013

Friday, 30 August 2013

Suno Guriyaa..

Usay Maine Ye Likha Tha
Suno Ae Jaan Se Pyaari Guriya !!!
Tumhain maloom hi hoga
Tumhare bin to ab mera guzara ho nahi sakta..
Tarapta hon judaai main
Magar..
Ye be.basi kesi !!
Keh
Mai khul ke ro nahin sakta..

Mere Eesaab pe hai
Tumhaari yaad ka pehra
Main shab ko so nahi sakta..


Suno Guriya !!
Koi raasta,
Koi tadbeer ho aisi
Ke dil ke chaak sil jaein
Judaai mai wafaon ke kahin pe gul jo khil jaein
Ham phir ik baar mil jaen..


Jo ab guriya ne likh bheja
Ae meri jaan se berh kar !!
Ye mera Aakhri khat hai
Ye mana hai bohot mushkil Magar !!
Dekho meri khaatir tumhein har haal mai
Mujhse kinaara karna hoga
Koi tadbeer bhi ab ke
Hamaare Bas Se baahir hai..
Jo Dil Ke chaak hain jaana !!
Ye phir se sil nahi sakte
Judaai mai wafaaon ke kabhi gul khil nahi sakte
Suno!!
Ham mil nahi sakte




Tumhari khuwahishein janaa'n
Hain sar ankhon pe mere


So...
Sar.e.raah Mohabbat mai
Tumhari khuwahison ka ab jo ik taawaan hai zimmey
Usi ko bhar raha hon main
Ubharti saans kehti hai
Musalsal mar raha hon main


Suno Guriyaa..


Guzaara Kar raha hon main..!!!

Loug Mujhe Be.hiss Kehte Hain..

Loug Mujhe Be.hiss Kehte Hain..
Kyun Ke Main!
Barri Barri Batoun Pe Hans Deti Hun..
Choti Choti Baton Ko Pi Leti Hun
Lekin!
In Baton Ko Sehne Ke Liye
Dard Ke Kin Sehraon Se Guzarna Parta Hai..
Aansuon Ko Kis Tarah Peena Parta Hai
Mere Dil Se Koi Pooche
Lekin phir bhi
Mujhe Apna Ma'an Rakhna Parta Hai..
Kyun ke,
Main be.his Jo hun !!

قہر ہے ، موت ہے ، قضا ہے عشق

قہر ہے ، موت ہے ، قضا ہے عشق
سچ تو يہ ہے بری بلا ہے عشق

اثر غم ذرا بتا دينا
وہ بہت پوچھتے ہيں کيا ہے عشق

آفت جاں ہے کوئی پردہ نشيں
مرے دل ميں آ چھپا ہے عشق

کس ملاحت سرشت کو چاہا
تلخ کامی پہ با مزا ہے عشق

ہم کو ترجيح تم پہ ہے يعني
دل رہا حسن و جاں رہا ہے عشق

ديکھ حالت مری کہيں کافر
نام دوزخ کا کيوں دھرا ہے عشق

ديکھیے کس جگہ ڈبو دے گا
ميری کشتی کا نا خدا ہے عشق

آپ مجھ سے نباہيں گے سچ ہے
با وفا حسن ، بے وفا ہے عشق

قيس و فرہاد ، وامق و مومن
مر گئے سب ہی کيا وبا ہے عشق

Gehri gehri aankhon wali

Gehri gehri aankhon wali
Uljhi uljhi pagal larki
Tu ye kis ki dhun mein aakhir
Lambi lambi palkoon ooper
Motay motay aansoo le kar
Sundar komal pairon neeche,
Julti balti dharti de ker
Qariya qariya bhaag rahi hai,
Kis ki khaatir jaag rahi hai ?
Tujh ko ye maaloom nahi kya
Tujh jaisi najanay kitni
Gehri gehri aankhoon wali
Kaisi kaisi sundarta ke
Dhair khazanay lay kar nikleen
Lakin phir bhi us rastay say
Manzil tak pohchanay wala
Har ik saathi jhoota nikla

Ik ik aasha dushman nikli
Ik ik sapna dhoka nikla
Sachha har ik khadsha nikla

Dekho! Tum bhi janay do ab
Nadaani ka jitna rasta
Tum nay ab tak tay kar dala
Us rastay say ghar ki manzil
Ab bhi itni door nahi hai
Ab bhi wapis ja sakti ho
Sab kuch wapis pa sakti ho
Ab bhi agar tum nadani kay
Is rastay say ghar ko wapis na palti
To phir ik din aisa ho ga
Sundar aankhein mar jain gee
Palkein khoon se bhar jain gee
Jaan laboon par aa jaye gee
Tan kay saaray ujlay pan ko
Ghor musafat kha jaaye gee

Uss din phir tum chilaao gee
Lakin kuch haasil na ho ga
Saray lams ke bhookay saathi
Pankh laga kay urr jain gay
Tum rastay mein reh jaao gee
Rasta bhi woh keh jis kay peechay
Darr ki gehri daldal ho gee
Aagay gham ka jungle ho ga
Sar par gehra badal ho ga

Uss din kay aanay say pehlay
Uss din tak jaanay say pehlay
Waqat milay to dhalnay walay
Har lamhay ki zaat pay socho
Duniya ki bareek nazar say
Duniya ki har baat pay socho
Jazboon ki auqaat hi kiya hai
Jazboon ki auqaat pe socho
Woh dekho !!
Ik saaye par phir weeranay mein bijli karki
Gehri gehri aankhoon wali
Uljhi ulhji pagal larki...!

Wednesday, 28 August 2013

MUHABBAT Chandni Hai..

MUHABBAT Chandni Hai..
Jo Tareek Raaton Mein..
Humain Rasta Dikhati Hai..
Dilon Mein Jagmagati Hai..
Lahoo Mein GunGunati Hai..
Bohut Beaas Logon Ko Umeeden Dilati Hai..
Dukhon Aur Oljhanon Ko Ye..
Jeevan Se Bhagati Hai..
MUHABBAT Chandni Hai..
Aur
chandni jagmagati Hai..
Hamesha Jagmagati Hai..!!!

Shahon Ki Tarha Thay Na Ameeron Ki Tarha Thay

 Shahon Ki Tarha Thay Na Ameeron Ki Tarha Thay
Hum Shehr-E-Mohabbat K Faqeeron Ki Tarha Thay

Daryaoun Mein Hotay Thay Jazeeron Ki Tarha Hum
Sehraoun Mein Pani K Zakheeron Ki Tarha Thay

Afos K Samjha Na Hame Ehl-E-Nazar Ne
Hum Waqt Ki Zanbeel Mein Heeron Ki Tarha Thay

Gham Toq Gulo, Paon Mein Zajeer Ana Ki
Azaad Bhi Thay Hum Tou Aseeron Ki Tarha Thay

Ab Reh Gaey Hum Sirf Riwayat Ki Soorat
Jab Thay Tou Hama Rung Nazeeron Ki Tarha Thay

Hairat Hai K Woh Log Bhi Ab Chorr Chalay Hein
Jo Shafqat Ki Hatheli Pay Lakeeron Ki Tarha Thay

Sochi Na Buri Soch Kabhi Un K Liyeh Bhi
Paiwasta Mere Dil Mein Jo Teeron Ki Tarha Thay  ....

Kinara Ho Bhi Sakta Hai

 Woh Aadat Hai Tou Aadat Se Kinara Ho Bhi Sakta Hai
Magar Is Sari Koshish Mein Khasara Ho Bhi Sakta Hai

Rahein Gay Sath Phir Bhi Hum, Mohabbat Mar Gaee Kia Gham
K Masnoee Tanaffus Pay Guzara Ho Bhi Sakta Hai

Agar Aankhein Na Bhar Aaen, Tou Dil Muthi Mein Aaega
Hua Hai Haal Jo Mera , Tumhara Ho Bhi Sakta Hai

Khuli Aankhon Mein Thehra Khuwaab, Kese Toot Sakta Hai
Gumaan Yeh Zindagi Bhar Ka Sahara Ho Bhi Sakta Hai

Jo Itni Jagmagahat Dekhte Ho Aas Paas Apne
Yeh Meri Aankh Se Toota Sitara Ho Bhi Sakta Hai

Hame Hairat Se Mat Dekho, Ab Aisa Kia, Kiya Hum Ne?
Zameeni Ishq Hai Sahib! Dobara Ho Bhi Sakta Hai….

Tum Bhi Tou Ik ORat Ho..

Tum Se Pehle Bhi Kisi Or Ne Chaha Tha Mujhe
Yehi Baten, Yehi Andaz-e-Wafa Thay Us K

Us K Bhi Samne Thay Rasm-o-Rivajon K Azaab
Jitne Bhi Khuwab Thay Sab Aabla Paa Thay US K

Woh Bhi Sarkash Tha Bohat Apne Khayalon Ki Tarha
Hoslay Ishq Mein Maanind-e-Hawa Thay Us K

Tum Pay Utri Hein Yeh Wehshatein Taza Taza
Mom Se Tum Bhi Banaee Hui Ik Moorat Ho

Soch Lo Woh Bhi Ik Orat Thi Tumhare Jesi
Mukhtalif Tum Bhi Nahi, Tum Bhi Tou Ik ORat Ho..

Ab Tou Yeh Khuwahish Hai Yeh Zakhm Bhi Kha Kar Dekhein

Ab Tou Yeh Khuwahish Hai Yeh Zakhm Bhi Kha Kar Dekhein
Lamha Bhar Ko He Sahi Us Ko Bhula Kar Dekhein

Shehar Mein Jashn-e-Shab-e-Qadar Ki  Sa’at Aaiee
Aj Hum B Tere Milne Ki Duaa Kar Dekhein

Ulajhne Ki Kasak Rakhte Hein Aandhiyon Se Jo
Ik Diya Taiz hawa Mein Bhi Jala Kar Dekhein

Kuch Tou Awara Hawaoun Ki Thakan Khatam Karen
Apne Qadmon K Nishaan Aap Mita Kar Dekhein

Zindagi Ab Tujhe Sochein Bhi Tou Dum Ghut’ta  Hai
Hum Ne Chaha Tha Kabhi Tujhse Wafa Kar Dekhein

Hai Jin K Zarron Mein Khizaan Haanp K So Jati
Aisi Qabron Pe Koi Phool Saja Kar Dekhein

Dekhna Ho Tou Mohabbat K Azadaaron Ko
Na Shanasaiee Ki Diwaar Gira Kar Dekhein

Yun Bhi Dunya Hame Maqrooz Kiye Rakhti Hai
Dast-e-Qatil Tera Ehsaan Bhi Utha Kar Dekhein

Ronay Walon K Tou Hamdard Bohat Hein Mohsin
Hansty Hansty Kabhi Dunya Ko Rula Kar Dekhein..
Lamha Bhar Ko He Sahi Us Ko Bhula Kar Dekhein

Shehar Mein Jashn-e-Shab-e-Qadar Ki  Sa’at Aaiee
Aj Hum B Tere Milne Ki Duaa Kar Dekhein

Ulajhne Ki Kasak Rakhte Hein Aandhiyon Se Jo
Ik Diya Taiz hawa Mein Bhi Jala Kar Dekhein

Kuch Tou Awara Hawaoun Ki Thakan Khatam Karen
Apne Qadmon K Nishaan Aap Mita Kar Dekhein

Zindagi Ab Tujhe Sochein Bhi Tou Dum Ghut’ta  Hai
Hum Ne Chaha Tha Kabhi Tujhse Wafa Kar Dekhein

Hai Jin K Zarron Mein Khizaan Haanp K So Jati
Aisi Qabron Pe Koi Phool Saja Kar Dekhein

Dekhna Ho Tou Mohabbat K Azadaaron Ko
Na Shanasaiee Ki Diwaar Gira Kar Dekhein

Yun Bhi Dunya Hame Maqrooz Kiye Rakhti Hai
Dast-e-Qatil Tera Ehsaan Bhi Utha Kar Dekhein

Ronay Walon K Tou Hamdard Bohat Hein Mohsin
Hansty Hansty Kabhi Dunya Ko Rula Kar Dekhein..

Mein Bhoolne Walon Ki Nishani Nahi Rakhta ……

 Tu Naam Ka Darya Hai Rawani
Nahi Rakhta     …….

Badal Hai Woh Be Faiz Jo
Pani Nahi Rakhta  .......

Yeh Akhri Khat
Aakhri  Tasveer Bhi Lay Lay

Mein Bhoolne Walon Ki
Nishani Nahi Rakhta  ……

Sitaray Mil Nahi Saktey

 Mohabbat Kaat Sakti Hai
Dilon K Faaslay Lekin
Teri Meri Anna K Butt
Jagha Se Hil Nahi Saktey

      Sitaray Mil Nahi Saktey  …

Hame Daryaaft Karne Se, Hame Taskheer Karne Tak

 Hame Daryaaft Karne Se, Hame Taskheer Karne Tak
Bohat Hein Marhaley Baqi , Hame Zanjeer Karne Tak

Hamare Hijr K Qissay , Samaito Gay Tou Likho Gay
Hazaron Baar Socho Gay Hame Tehree Karne Tak

Hamara Dil Hai Paimana , So Paimana Tou Chhalkey Gaa
Chalo Dou Ghoont Tum Bhar Lo, Hame Taaseer Karne Tak

Purane Rung Chorro Aankh K, Ik Rung He Kafi Hai
Mohabbat Se Chashm Bhar Lo , Hame Tasveer Karne Tak

Hunar Takmeel Se Pehle , Musavvir Bhi Chupata Hai
Zara Tum Bhi Chupa Rakho, Hame Taameer Karne Tak

Woh Hum Ko Roz Loot’tay Hein, Adaoun Se Bahano Se
Khuda Rakhay  ! Lutairay Ko , Hame Faqeer Karne Tak .. ..

Is Se Pehlay K Mohabbat Bhi Khasaara Ho Jaaye

 Is Se Pehlay K Mohabbat Bhi Khasaara Ho Jaaye
Aao Mil Baithain K Yeh Waqt Hamara Ho Jaaye

Aik Do Din Mein Bhulaa Do Tou Yehi Acha Hai
Kaheen Aisa Na Ho Woh  Jaan Se Piyara Ho Jaaye

Ishq Kia Hai Koi Baazi Nahi Khaili Hum Ne
Khail Lagta Hai Tu Aao Dobaara Ho Jaaye

Hum Ne Kal Raat Khuda Se Yeh Duaayen Ki Hain
K Tum Jis Shakhs Ko Chaaho Woh Tumhara Ho Jaaye

Woh Mohabbat K Samandar Mein Bhanwar Ban K Mila
Meri Khuwaahish Hai Kaheen Door Kinaara Ho Jaaye...

Wednesday, 21 August 2013

Tum puucho aur main na bataaun aise to haalaat nahin

Tum puucho aur main na bataaun aise to haalaat nahin
Ek zaraa saa dil toota hai aur to koi baat nahin

Kisko khabar thi saanvale baadal bin barse urr jaate hain
Saavan aayaa lekin apni qismat mein barsaat nahin

Maana jeevan mein aurat ek baar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bataa de kya tuu aurat zaat nahin

Khatam hua mera afsana ab ye aansuu pou'ch bhi lo
Jis mein koi taara chamke aaj ki raat wo raat nahin

Mere Ghamgeen hone par ehbaab hain yun hairaan "Qateel"
Jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat naheen

wafa naam rakh diya

Dunia Ne Ham pe jab koi ilzaam rakh dia
Ham ne muqabil uske tera naam rakh dia
 
Ik khaas had pe a gai jab teri be.rukhi
Naam uska hum ne gardish-e-ayyam rakh dia
 
Mai larkhara raha hon tujhe dekh dekh ke
Tu ne to mere saamne ik jaam rakh dia
 
Kitna sitam zareef hai wo sahib-e-jamaal
Us ne diya jaala ke lab-e-baam rakh dia

Insaan aur dekhe bagair us ko maan le 
Ik Khauf  ka bashar ne khudaa naam rakh diya

Ab jis ke jee mein aaye wohi paye roshni
Hum ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya
 
Kyaa maslehat.shanas tha wo aadmi 'Qateel'
 Majburiyou.n ka jis ne wafa naam rakh diya

ٹوٹ کر کی ہے تو صرف محبت کی ہے

میں نے کب درد کی زخموں سے شکایت کی ہے
ہاں میرا جرم ہے کہ میں نے محبت کی ہے

چلتی پھرتی لاشوں کو گلہ ہے مجھ سے
شہر میں رہ کر میں نے جینے کی حسرت کی ہے

آج پہچانا نہیں جاتا چہرا اس کا
اک عمر میرے دل پہ جس نے حکومت کی ہے

آج پھر دیکھا ہے اسے محفل میں پتھر بن کر
میں نے آنکھوں سے نہیں دل سے بغاوت کی ہے

اس کو بھول جانے کی غلطی بھی نہیں کر سکتا
ٹوٹ کر کی ہے تو صرف محبت کی ہے

Hansata tha mujh ko, kabhi rula bhi deta tha

Hansata tha mujh ko, kabhi rula bhi deta tha
kar k wo mujh se aksar wade bhula bhi deta tha


be-wafa tha bohat magar dil ko achha lagta tha
kabhi kabahar batain muhabbat ki suna bhi deta tha


Thaam leta tha hath mera kabhi yoon he
khud kabhi hath apna mere hath se chhura bhi leta tha


kabhi be-waqat chala aata tha milny ko
kabhi qeemti pal muhabbat k ganwa deta tha,


Ajab dhoop chhaon sa mizaj tha us ka
moutbar bhi rakhta tha, nazron se gira bhi deta tha

Weeran bohat hon

Weeran bohat hon wasl se Tashkeel kar Mujhy,
Tu mujh say pyar kar zara tabdeel kar mujhy,

Sehra ki tapti rait sy aa kar mujhy bacha,
Tu Thanday meethay pani ki ik jheel kar mujhy,

Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,
Har hukm par na es tarah taa'meel kar mujhy,

Ab is trha se mujh ko adhura na chor tu,
Main hon tera wada to ab takmeel kr mujy,

Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash de,
Main ik andhairi raat hon na taveel kar mujy

Jal rahi hoon main

Safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main
ghubaar-e-shab ki udaasi mein Dhal rahi hoon main

Ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
k jis ki aag mein chup chaap jal rahi hoon main

Phir ik charaagh jala shaam ki haveli mein
phir eik dard se aakhir sanbhal rahi hoon main

Yeh rakh rakhaao usay jaan'ne naheen de ga!
ke apne aap mein kese pighal rahi hoon main

Yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaan?
ab is savaal se baahir nikal rahi hoon main

Bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hoon mein

Tuesday, 20 August 2013

Barason ke baad dekha ik shakhs dilruba sa

Barason ke baad dekhaa ik shakhs dilruba sa
Ab zahan mein nahin hai par naam tha bhalaa sa

Abaruu khinche khinche se ankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si lehaja thaka thaka sa

Alfaaz the ke jugnu aawaz ke safar mein
Ban jaaye jangalon mein jis tarah raasta sa

Khawabon mein Khawaab us ke yaadon mein yaad us ki
Neendon mein ghul gaya ho jaise ke rat-jaga sa


Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Wo har tarah se lekin auron se tha judaa sa

Aglii muhabbaton ne wo na.muraadiyan dein
Taza rafaaqaton se dil tha dara dara sa

Kuch ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
Kuch zehar mein bujha tha ehbaab ka dilaasa

Phir yun hua ke saavan aankhon mein aa base the
Phir yun hua ke jaise dil bhi tha aabla sa

Ab sach kahen to yaaro ham ko khabar nahin thi
Ban jayega qayaamat ik waqea zara sa

Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

Ham dasht the ke dariya ham zehar the ke amrit
Naahaq tha zoum ham ko jab wo nahin tha pyasa

Ham ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaaqan
apna bhi haal hai ab logo 'Faraz' ka sa

Mushkil hai ab shahar mein nikle koi ghar se

Mushkil hai ab shahar mein nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hai hoti hui ser se

Barsaa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere kheit the jis abr ko tarse

Is baar jo eindhan ke liye kat ke giraa hai
chiriyon ko barra pyaar tha us buurhe shajar se

Mehanat meri aandhi se to mansuub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

Khud apne se milne ka to yaarana tha mujh mein
main bheer mein gum ho gai tanhaai ke Dar se

Benaam musaafat hi muqaddar hai to kya Gham
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se

Pathrayaa hai dil yun ki koi talism parhaa jaaye
ye shahar nikaltaa nahin jaadu ke asar se

Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi
suuraj bhi magar aayegaa is raah-guzar se

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumaar Karna

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumaar Karna
Jo Mere Hissay Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna


Jalaae Rakhon Gi Main Subha Tak Tumhary Raston Main Apni Aankhein
Mager Kahin zabt Toot Jaye Tu Barishein Bhi Shumar Karna


Jo Harf loh-e-Wafa Per Likhe Hoye Hain Un Ko Bhi Dekh Laina
Jo Raa'igaan Ho Gaein Wo Sare Ibbaratein Bhi Shumar Karna


Yeh Sardiyoon Ka Udaas Mousam Keh Dharkanein Barf Hogai Hain
Jab In Ki Yakh Bastagi Parkhna Tou Tamazatien Bhi Shumar Karna


Tum Apni Majbooriyon Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Wo khuwahishain Shumar Karna


Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishiyen Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hissey Main Ayi Hain Wo Aziyaatein Bhi Shumar Karna

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar
Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar


Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar


Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga
Be waja har dukan se kharidaarian na kar


Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi
Wabasta har shajar se wafadaarian na kar


Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair
Apne hi doston ki taraf darian na kar


Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe
Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar


Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka
Phir dosri shikast ki tayyarian na kar

Kash wo khud he aa jata

Us ne phool bheje hain
Phir meri ayadat ko
Aik aik patti mein
Un labon ki narmi hai
Un jameel hathon ki
Khushgawar hiddat hai
Un lateef sanson ki
Dilnawaz khushbo hai

Dil mein phool khilte hain
Rooh mein charagan hai
Zindagi mo'atar hai!

Phir bhi dil ye kehta hai
Baat kuch bana leta
Waqt ke khazane se
Aik pal chura leta
Kash wo khud aa jata
bas
Kash wo khud he aa jata....

Ek Larki Jo Mery Andar Basti Thi

Sochti Thi
Us Se Bichar Ke na Ji Sakon gi
Marr Jaon Gi
Wo Awaz na Sun Paai Tou
Aur Kya Sun Paongi

Us Ka Saath na Mil Paya Tou
Kaisy Jee Paaon Ge ??
Wo Chehra na Daikh Saki Tou
Roshni Kaisy Paaongi ?


Sochti Thi
Us Se Bichar Ke Kaise Ji Paaon Gi
Khud Ko Kaisy Behlaaon gi
Lekin Dekho
Us Se Door Howy MujhKo Kitny Mosam Beet Gaye
Wo Chehra Door Hai Ab Mujh Se
Wo Alfaaz nahi milty Ab
Lekin Phir bhi
Aankhon Ki Beenaai Salamat Ab bhi Hai
Lafzon Ka Zakheera Ab Bhi Hai
Ab Bhi Sanson Ka Wohi Tasalsul
Waqfe Waqfe Se Jaari Hai
Ab Bhi Banti Sanwarti Hon
Ab Bhi Hansti Gaati Hon
Ab Bhi Umda Kapry Pehen Ke
Sab Se Milny Jati Hon
Ab Bhi Aksar Tanhai Main
Milan K naghme Gaati Hon
Ab Bhi Sab Kuch Chal Hi Raha Hai
Ab Bhi Jeevan Guzar Raha Hai
Lekin Kya Hai
Ek Larki Jo Mery Andar Basti Thi
Teri Madad Se
Maine Usko Maar Diya Hai

Ehtiyaaat

Sote mein bhi
chehre ko anchal se chupaye rehti hoon
Dar lagta hai
Palkon ki halki si larzish
Honton ki mohom si jumbish
Gaalon per reh reh kar utarne wali dhanak
Lahoo mein chaand rachati
iss nanhi si khushi ka naam na le le
Neend mein ayi hui muskaan
kisi se dil ki baat na keh de. . .

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati

Ab Umar, Na Moasam, Na Wo Rasty Keh Palat.te
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati

Aye Koi Aa ker Ye Tere Dard Sambhaley
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati

Malum Humay Bhe Hain Bohat Se Tery Qisay
Har Baat Teri Hum Sai Uchaali Nahi Jati

Humrah Tere Phool Khilati Thi Jo Dil Mein
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati

Hum Jaan Se Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati

Sunday, 18 August 2013

Tu Kahan Tha

Tu Kahan Tha
Jab Gham Meri Dharkan Meri Baton Se Ayyan Tha,
Tu Kahan Tha...


Jab Chaaron Taraf Dard Ke Darya Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha...


Ab Aya Hai Jab Dhal Gaye Hain Sabhi Mousam,
Mere Humdum...
Jab Tere Liye Mera Her Ehsaas Jawan Tha,
Tu Kahan Tha...

Ab Sirf Khamoshi Hai Muqaddar Ka Sitara,
Mere Yaara...

Jab Lub Pe Faqat Tera, Faqat Tera Bayaan Tha,
Tu Kahan Tha

Ab Aya Hai Tu Jab Kaam Dikhaya Gaya Sawan,
Meray Sajan...

Jab Chaar So Meray Liye Khushiyon Ka Samaan Tha..
Tu Kahan Tha...

Suno pathar nahi hona

 Suno pathar nahi hona

Hawa ki jo bhi marzi ho

Muqaddar jo kabhi kuch chahe

Koi taara na jugnoo ho

Andhere hi andhere hon

Sabhi sapne bikhar jayen

Sabhi lehje badal jayen

Meri yadon se ik pal bhi bekhabar nahi hona

Suno pathar nahi hona

Tumhain aadat nahin meri

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aaghaz-e-mohabbat hai,Tumhain aadat nahin meri

Bari khud gharz duniya hai
Kabhi milnay nahin day gi
Mujay bhi tor dalay gi
Tujhay bhi tor dalay gi

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aaghaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Abhi aadat nahin tujh ko
wasal ki haseen shamon ki
Abhi adat nahin mujh ko
Teri aankhon main khonay ki

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi aghaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Bara mushkil hota hai
kisi ko chor kar jana
Eik Dil ka rishta , Dosray se tor kar jana
ye duniya chor diti hai
Bharam sab tor deti hai

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabbat hai,Tumhain aadat nahin meri

Din bhar k thake panchi
Abhi wapas nahin loute
Abhi soraj nahin doba
Abhi taray nahin niklay

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumain aadat nahin meri

Abhi kashti samander ki
Lehron se nahin uljhi
Abhi kashti bhi teri hai
Abhi tera kinara hai

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho
Abhi agaz-e-mohabat hai,Tumhain aadat nahin meri

Meri Zindagi Ki Hikayatain

میں کتنی وارفتگی سے اُسے سنا رہا تھا۔۔۔۔۔۔
وہ ساری باتیں وہ سارے قصے
جو اُس سے ملنے سے بیشتر
میری زندگی کی حکائیتیں تھیں

میں کہہ رہا تھا۔۔۔۔!!!
کہ اور بھی لوگ تھے
جنہیں میری آرزو تھی میری طلب تھی
کہ جن سے میری محبتوں کا رہا تعلق
کہ جن کی مجھ پر عنائیتیں تھیں


میں کہہ رہا تھا۔۔۔۔۔!!!
کہ اُن میں کچھ کو تو میں نے
جان سے عزیز جانا
مگر اُنہی میں سے بعض کو
میری بے دلی سے شکائیتیں تھی
میں ایک ایک بات
ایک ایک جرم کی کہانی
دھڑکتے دل کانپتے بدن سے سنا رہا تھا
مگر وہ پتھر بنی۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
مجھے اس طرح سے سنتی رہی
کہ جیسے میرے لبوں پر
کسی مقدس ترین' صحیفے' کی حکائیتیں تھیں

Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao

Inhi khush'gumaniyon mei kahin jaan se bhi na jao
wo jo chaaragar nahi hy usy zakhm kyon dikhao ?

Ye udasiyon k mousam kahin raigaan na jaain
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao

Wo kahaniyaan adhori jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyon sunaon unhain tum b kyon sunao?

Mere humsafar purane mere ab b muntazir hain
tumhain sath chorna hy to abhi se choor jao

Ye judaiyon ke rasty bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na louta meri baat maan jao

kisi bewafa ki khatir ye junon ‘Faraz’ kab tak
jo tumhain bhula chuka hy usey tum bhi bhool jao !!!

روٹھا تو شہر خواب کو غارت بھی کر گیا

روٹھا تو شہر خواب کو غارت بھی کر گیا
پھر مسکرا کے تازہ شرارت بھی کر گیا

شاید اسے عزیز تھیں آنکھیں میری بہت
وہ میرے نام اپنی بصارت بھی کر گیا

منھ زور آندھیوں کی ہتھیلی پہ اک چراغ
پیدا میرے لہو میں حرارت بھی کر گیا

بوسیدہ بادبان کا ٹکڑا ہوا کے ساتھ
طوفاں میں کشتیوں کی سفارش بھی کر گیا

دل کا نگر اجاڑنے والا ہنر شناس
تعمیر حوصلوں کی عمارت بھی کر گیا

سب اہل شہر جس پہ اٹھاتے تھی انگلیاں
وہ شہر بھر کو وجہ زیارت بھی کر گیا

محسن یہ دل کہ اس بچھڑتا نہ تھا کبھی
آج اس کو بھولنے کی جسارت بھی کر گیا

Saturday, 17 August 2013

Nasir Kia Kehta Phirta Hai

 Nasir Kia Kehta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai..*
Diwana Hai Diwane Ke Muon Na Lago To Behtar Hai..*

Kal Jo Tha Wo Aaj Nahi Jo Aaj Hai Kal Mit Jaye Ga..*
Rukhi Sukhi Jo Mil Jaye Shukar Karo To Behtar Hai..*

Kal Ye Tab-O-Tawan Na Rahe Gi Thanda Ho Jaye Ga Lahu..*
Nam-E-Khuda Ho Jawan Abhi Kuch Kar Guzro To Behtar Hai..*

Kia Jane Kia Rut Badle Halat Ke Koi Theak Nahi..*
Ab Ke Safar Main Tum Bhi Humare Sath Chalo To Behtar Hai..*

Kapre Badal Kar Bal Bana Kar Kahan Chale Ho Kis Ke Liye..*
Rat Bahut Kali Hai NASIR Ghar Main Raho To Behtar Hai..*

Fasle Aise Bhi Hon Gay Ye Kabhi Socha Na Tha

 Fasle Aise Bhi Hon Gay Ye Kabhi Socha Na Tha.

Samne Betha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha.

Wo K Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Charsoo.

Main Use Mahesoos Kar Sakta Tha Chu Sakta Na Tha.

Raat Bhar Pichli Uski Hi Aahat Kaan Main Aati Rahi.

Jhank Kar Dekha Gali Main Koi Bhi Aaya Na Tha.

Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alheda Karliye.

Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha.

Ye Sab Weeraniyan Us K Juda Hone Se Thein.

Aankh Dhundlai Hovi Shehr Dhundlaya Na Tha.

Yaad Kar K Aur Bhi Takleef Hoti Thi ADEEM.

Bhool Jane K Siva To Koi Bhi Chara Na Tha.

Dekh To Gori Kise Pukare

 Dekh To Gori Kise Pukare,

Basti Basti Daware Daware,

Bar Mein Jholi Hath Mein Kaasa,

Ghoom Raha Hai Peet Ka Payasa,

Dil Mein Aag Dabi Hai, Darna,

Aankhon Mein Ashkon Ka Jharna,

Lab Par Dard Ka Bara Masa,

Ghoom Raha Hai Peet Ka Piyasa,

Kanton Se Chilni Hain Paon,

Dhoop Mili Chehre Par Chaon,

Aas Mili Aankhon Mein Narasa,

Ghoom Raha Hai Peet Ka Piyasa,

Bat Humari Maan K Gori,

Sab Dunia Se Chori Chori,

Ghoogat Ka Patt Khol Zara Sa,

Ghoom Raha Hai Peet Ka Piyasa,

Sorat Hai INSHA JEE Ki Si,

Baal Pareshaan Aankhain Neechi,

Naam Bhi Kuch Insha Jee Ka Sa,

Ghoom Raha Hai Peet Ka Piyasa,

Soch Nahi Sajan Ko Bula Le,

Aage Barh Seene Se Laga Le,

Tujh Bin De Isay Kon Dilasa,

Ghoom Raha Hai Preet Ka Piyasa.........!

Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal

 Pakistani Aurat k Naam

 Aankhon ki bandgi nigahain Jhuka k Chal,

Shanun se Gir gia hai Dopata Utha K Chal,

Qomun ki zindgi Teri Aaghosh Men Pali.

Qomun ki zindgi Ka Muqadar Jaga k chal,

Ankhon K Teer Tery Badan Se Paray Rahen,

Sharm_o_Haya Ko Apna Lubada Bana K Chal,

Gar Ho sakay To Serat_e_Zohra Pe Kar Amal,

Is Zindgi Ko yon Na Tamasha Bana k Chal,

Ban Ja Sheaar_e_Azamat_e_Aslaaf ka NIshan,

Har Ek Gunah Se Daman_e_Ismat Bacha K Chal,

Mana Hawa Kharab Hai Mahool Bhe Ghaleez,

Gar Ho Sakay To Sath na Us hawa K chal,

Nasir Ko Teri Hurmat_o_ifat Azeez hai,

Is Dar_e_Namurad se us ko bacha K Chal...........!

Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum

 Ye Jo Chehre Se Tumhain Lagte Hain Bemar Se Hum,

Khoob Roye Hain Lipat Kar Dar-O-Deewar Se Hum,

Yar Ki Aankh Mein Nafrat Ne Humain Qatal Kia,

Kon Kehta Hai Kate Yar Ki Talwar Se Hum,

Ranj Har Rang Ki Jholi Mein Bhare Hain Hum Ne,

Jab Bhi Guzre Hain Kisi Dard K Bazar Se Hum,

Ishq Mein Hukam Adooli Bhi Humain Aati Hai,

Talne Wale To Nahi Hain Tere Inkar Se Hum..................!

Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka?

Hum Ne Bhala Kabhi Socha Kisi Ka?

Insha Jee Kion Dehan Aaya Kisi Ka,

Seene Mein Yadon Ki Jawala Si Bharki,

Aankhon K Aage Hai Chehra Kisi Ka,

Kis Ka Gham Hai?
Tum Log Jano To Jano,

Hum Se Na Pocho Ho Ga Kisi Ka,

Batein Karein Log Kis Moorti Ki,?

Shardha Ka Mandar Toota Kisi Ka,

Pardeis Ja Kar Pocha Kisi Ne?

Haal Aa K Wapas Dekha Kisi Ka?

Seene Pe Charke Bairi Bira K,

Aankhon Mein Behta Daria Kisi Ka,

Sorat Moonhar Batein Raseeli,

Aage Tha Dhoka Hi Dhoka Kisi Ka,

Hum Ajnabi Hain Hum Se Na Milna,

Apna Bana Kar Kehna Kisi Ka................!

Wednesday, 14 August 2013

آخری خواہش

مرے ساتھی
مری یہ روح میرے جسم سے پرواز کر جائے
تو لوٹ آنا
مری بے خواب راتوں کے عذابوں پر
سسکتے شہر میں تم بھی
ذرا سی دیر کو رکنا
مرے بے نور ہونٹوں کی دعاؤں پر
تم اپنی سرد پیشانی کا پتھر رکھ کے رو دینا
بس اتنی بات کہہ دینا
مجھے تم سے محبت ہے

Tuesday, 13 August 2013

Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko

Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko
Main Hanste huye Acha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon Yaad Main Kar Ke
Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon

Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha Tha Us Ne
In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
Tum Se Pyaar Main Karta Hoon

Har Pal Mere Sath Hote Ho
Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
Woh Dour Suhane Sapnon Ka
Sab Jhoot Par Mabni Nikla Tha
Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon

Tum Mere The Tum Mere Ho
Ab Sab Se Yahi Kehta Hoon.

Mere jaise ban jaogay

Mere jaise ban jaogay jab ishq tumay ho jayega

Deewaroon se takraogay jab ishq tumay ho jayega

Her baat gawara karlogay mannat bhi utaara karlogay

Thaaweezein bhi bhandwaogay jab ishq tumay ho jayega

Tanhai k jhoolay jhoologay ar baat puraani bhoologay

Aaine se gabraogay jab ishq tumay ho jayega

Jab suraj bhi kho jayega aur chaand kahin so jayega

Tum bhi ghar der se aaogay jab ishq tumay ho jayega

Becheni jab bar jayegi aur yaad Kisi ki aayegi

Tum meri ghazlein gaaogay jab ishq tumay ho jayega.

"NASIHAT"

Mere humdam zara

Tum Tawajo kro

Or sunno Goor se

Ye koi qissa ya koi kahani nahi

Jhooti baat b tum ko batani nahi

Baat ye hy k tum abhi Na'Daan ho

Hijar ki so batton se tum anjan ho

Meri Maano agar

To khuda k liye

Khawb Mat Dekhna

Tum nahi jantey

khawbon ki neend se jab b jaago k Tum

Taabir en khawbon ki jab na pao ge Tum

Toot jaye ga Dil Aas mit jaye gi

zindagi kitney tukaroon may bat jaye gi

Meri baaton pe tum ko bharosa hy gar

Dil lagana nahi

Apne Dil may kisi ko basana nahi

Tum nahi jantey

Jab b Dil may kisi ko basao ge tum

Phir kabhi usko na bhool pao ge tum

Wo chala jaye ga Tera Dil tor ker

kaisay tanha kaho phir kat'tey ga safar

Meri Maano

Meri Jaan samajh jao Tum

Es rastey se wapas palat aao Tum

khawb Dekho nahi

Dil Lagao nahi

Apni Aankhoo may sapne sajao nahi...!!!

Kbi jo waqt phir jaye

Kbi jo waqt phir jaye,
tmhain mujhse bicharna ho,
tmhain waaday se phirna ho,
to beshak dair mat karna,
mujhe naraz kar dena,
tm apna rukh badal lena,
tm apni simt chal dena,
mgr jb laut k aana,
tmhain mitti k teelay par,
main shayad na dikhaai doon,
mgr hairaan mat hona,
wahin do chaar qadmo'n par,
mazaar e bekra'an hoga,
wahaan ik phool rakh dena,
ik shamma jala dena,
aur apna rukh badal lena,
aur apni simt chal dena...

ik pagal pagal c larki

ik pagal pagal c larki
dil torne se darti thi
har pal ,har lamha,
khud se wo jhagarti thi
ansoo kun aay kisi ankh mein
mujrim khud ko samjti thi
ghut ghut k jeeti rehti thi
har saans ulajti rehti thi-
so baar kaha a nnadaan ladki
duniya ko dekhna chorr de
khud se uljhna chorr de
pal pal bikharna chorr de
yahan hasaas dil to koi nhi
yahan nazuki se kaam na le
yahan pathar ban na parta hai
yahan rehm dili se kaam na le
so baar kaha
par kesi na samj thi
duniya ko hi sab samjti thi
phir wohi huwa jo hona tha
dil toota uss ka
jis ka usse rona tha
bharose ki diwaar giri
sard lehje har baar mile
phir simt gai apni zaat mein
tamaam dukhon ko samete anchal mein
ankhon mein jazbaat nhi
pehle se halaat nhi
farq sirf itna huwa
khud apni zaat ko torr diya
tanhaiyon se rishta jorr liya
phir tanha tanha rehne lagi
phir khud ko pathar kehne lagi....
ik pagal pagal c larki
jo dil torr ne se darti thi

مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔

مجھے لکھنے کی خواہش ہے ۔۔۔
مگر لکھا نہیں جاتا
میرے الفاظ دل کی آہنی دیوار سے سر پھوڑتے ہیں
اور انہیں اظہار کا رستہ نہیں ملتا
میری آنکھیں جنھیں دِل میں چھپے جذبات کو اشکوں کی بولی میں
بتا دینے پہ قدرت تھی
وہ اب کچھ بھی نہیں کہتیں
میرے یہ لب !
جو دل کی ان کہی باتوں کو کہنے سے نہ ڈرتے تھے
وہ لب کچھ بھی نہیں کہتے
میرے یہ اُنگلیاں !
جو دل میں چُھپے جذبات کو اظہار کا رستہ بتاتی تھیں
وہ اب کچھ بھی نہیں لکھتیں
میری آنکھیں، یہ لب، یہ اُنگلیاں مجھ سے کہتے ہیں
کہ اب جذبات کو اظہار کا رستہ نہیں دینا
کہ یہ منہ زور ہوتے ہیں
فقط رستے کے ملنے سے
انہیں منزل تلک جانے کی حاجت ہی نہیں رہتی
نئے رستے پہ جاتے ہیں
نئی راہیں بناتے ہیں
مگر پھر واپسی کے سب نشاں یہ بھول جاتے ہیں
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
وگرنہ خوں رُلائیں گے
انہیں رستہ نہیں دینا
انہیں تم دِل میں رہنے دو !
مجھے لکھنے کی خواہش ہے
مگر لکھا نہیں جاتا

Jog Bajog Ki Batein Jhooti Sab Jee Ka Behlana Ho

 Jog Bajog Ki Batein Jhooti Sab Jee Ka Behlana Ho,

Phir Bhi Hum Se Jate Jate Aik Ghazal Sun Jana Ho,

Sari Dunia Aqal Ki Bairi Kon Yahan Par Siyana Ho,

Na Haq Naam Dharein Sab Hum Ko Deewana,Deewana Ho,

Nagri Nagri Lakhon Darwaze Har Darwaze Par Lakhon Sakhi,

Lekin Jab Hum Bhool Chuke Hain Daman Ka Phailana Ho,

Sat Samandar Paar Ki Gori,!
Khail Zara Karta Ruke Dekh,

Hum Ko Tha Is Shehr Mein Milna Us Ko Tha Milwana Ho,

Tere Ye Kia Jee Mein Aai Khainch Liye Sharma K Hont,

Hum Ko Zehar Pilane Wali Amrat Bhi Pilwana Ho,

Sawan Beeta Bhadon Beeta Ujre Ujre Man K Khait,

Koyal Ab To Kook Uthana Maiga Meenh Barsna Ho,

Aik Hi Sorat Aik Hi Chehra Basti Parbat Jangal Painth,

Aur Kisi K Ab Kia Hon Gay Chor Humain Bhatkana Ho,

Hum Bhi Jhoote Tum Bhi Jhoote Aik Usi Ka Sacha Naam Ho,

Jis Se Deepak Jalna Seekha Parwana Jal Jana Ho,

Seedhe Mann Ko Aan Dabochain Meethi Batein Sundar Bol,

Meer Nazeer Kabeer Aur Insha Sara Aik Gharana Ho...............!

Saturday, 10 August 2013

Main Ne Mana K Too Yousaf Sa Haseen Hai Lakin

 Main Ne Mana K Too Yousaf Sa Haseen Hai Lakin

Ye Mera Dil Hai Koi Missar Ka Bazar Nahi

Apni In Shokh Adaon Ko La Kar To Dekh

JAN De Den Gay Monh Se Hi Iqraar Nahi

Hum Ne To RooH Tumhari Se Mohabbat Ki Hai

Hum Ko Is Banne Sanwarne Se Sarokar Nahi

Pyar Karte Ho Kabhi Pooch Jo Baithe Un Se

Pkar K Hath Kaha Dil Lagi Hai Pyar Nahi.................!

Kitni Nayab Thi Khamosh Chahat Us Ki

 Kitni Nayab Thi Khamosh Chahat Us Ki
Aj Wo Pas Nahi Hai To Hai Hasrat Us Ki
Kar Hi Le Ga Tark-E-Taluk Mujh Se
Lamhe Bhar Mein Badal Jaye Gi Fitrat Us Ki
Ye Ghalat Hai K Mujhe Chor Diya Us Ne
Wo Bhala Pas Na Ho Magar Yad Hai Us Ki
Main Fana Ho Gaya Afsoos Wo Badla Bhi Nahi
Meri Chahat Se Bhi Sachi Rahi Nafrat Us Ki..............!

Tum Ko Shohrat ho Mubarak Humain Ruswa Na Karo,

 Tum Ko Shohrat ho Mubarak Humain Ruswa Na Karo,

Khud Bhi Bik Jao Gay Ek Roz Ye Souda Na Karo,

Shoq Se Parda Karo Parda Hai Wajib, Lekin

Meri Qismat K Andheron Mein Izafa Na Karo,

Choom Lene Do Yar Ko Jee Bhar K Humain,

Zindagi Pyar Hai Tum Pyar Se Rokha Na Karo,

Koshshain Karne Se Halat Badal Jate Hain,

Khud Bighri Hoi Taqdeer Ka Shekwa Na Karo,

Bandagi Hi Se To Hai Banda Nawaze Un Ki,

Behad Nadan Ye Ki gtay Hain K Sajda Na Karo,

Arsh Par Khak Nasheeno Ka Basaira Touba,

Jo Na Pore Ho Kabhi Aysi Tamanna Na Karo,

Jis Ko Tum Ne Khuda Samja Hai Aye Munir,

Khud Banaye Howe Mabood Ki Pooja Na Karo............!

Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kia Ho Ga

 Bikharta Jism Meri Jaan Kitab Kia Ho Ga?

Tum Apni Neend Bhare Shehr Mein Talash Karo!

Jo Aankh Rakh Hoi Us Mein Khawab Kia Ho Ga?

Wo Meri Tohmatain Apne Badan Pe Kion Orhe,

Mere Gunah Ka Us Ko Sawab Kia Ho Ga?

Hawa Mein Us Ki Musafat Zameen Pe Mera Safar,

Wo Shahsawar Mera Humar Kaab Kia Ho Ga?

Usay Ganwa K Main Ab Kis K Khudo Khaal Parhon,

Ab Us Se Barh K Mera Intakhab Kia Ho Ga?

Mile Ga Doobne Walon Ko Ajar Jo Bhi Mile!

Samandaron Ka Magar Ahtasab Kia Ho Ga?

Humare Bad Humain Yad Kion Kare Ga Ko?

Hawa Ka Naqsh Sar-E-Satha-E-Aab Kia Ho Ga?

Bikharte Tootte MOHSIN Ko Kia Kehna,

Kharab Aur Wo Khana Kharab Kia Ho Ga.............?

Kuch chiriyan hain

Kuch chiriyan hain jo

Aankhain mond-e rehti hain

Choti c is dunia main

Sapny sajay rakhti hain

Sapnon ki barat main un k

Na koi badal hai, na koi saya hai

Sara manzr un ka apna man bhaya hai

Is liay wo kehti hain

Hum sapno ki saij main rehti hain.

Qaaf seen meem


Mere hathon ki mehndi mein

Woh kehti hai,

Mere hathon ki mehndi mein,

Meri ankhon ke kaajal mein,

Mere honthon ki laali mein,

Meri zulfon ke aanchal mein,

Jane jaan,

Har ek cheez adhoori hai,

Ke jese,

Tum mere bina,

Aur

Mein tere bina.

Friday, 9 August 2013

Pocha Jo Hall To Muskura K Ro Pari

 Pocha Jo Hall To Muskura K Ro Pari

Apna Hath Mere Hath Main Thama K Ro Pari

Wo Nadan Bholi Si Larki Nahi Janti Kia Hai

Us Ka Roop Saroop Kundan Nahi To Kia Hai

Us Ko Nahi Khabr K Us Ki Nahi Misal

Deshat Ka Husn Bhi Us K Aagay Kia Hai

Wo Apna Paak Daman Nechor De To Hoorain

Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lar Parin To Aur Kia Hai

Wo Ghar K Kisi Kone Mein Gum Sum Simti Bethi Hai

Us Ko Nahi Khabr K Haqeeqat Aur Kia Hai

Us Ki Ada Aisi Hai K Mosam Badal K Rakh De

Wo Hanste Hanste Ro De Koi Poche Akhir Kia Hai

Sharmeeli To Aisi K Khud Se Bhi Sharma Jaye

Pallo Daba K Munh Mein Ghabra K Bole Kia Haia

Us Ko Kahein Pari To Uski Toheen Ho Gi

Par Pariyan Chehek Uthain Gi Wah Un Ka Naseeb Kia Hai,

Sera To Aisi Hai ke Qurban ho Jay Har Shakhs,

Ya Mere Khuda Us Par Inaam Nahi To Kia Hai,

Ye Haqeeqat Hai K Tarq-E-Deeda-E-Zan Se Horain Mile Gi,

Wo Samne Aaye To Horon Ki Talab Hai Kia.............!

Mein Kab Tak Usey Pukara Krun ?

*Main Yun hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Krun?

* Woh Mera Hai, Ya Nai Hai, Ab Kia Istekhara Krun?

* Kaha Hai Us Ne K Main Har Roz Aaun Ga.....

* Kia Main Us k Lie Rozana Ghar Sanwara Krun?

* Tamam Log Dekhte Hain Nazar Bhar K Usey.....

* To Kyun Na Roz Main Uski Nazar Utara Krun...

* Jo Ban Gaya Hai Mere Lie Wisaal-e-Jan.....

* Main Sochta Hun K Un Sab Se Ab Kinara Krun...

* Woh Meri ZINDAGI Hai Aur Dusron K Sath Rahe...

* Yeh Be-rukhi Main Bhala Kis Tarha Gawara Krun???

Wo Larki Wo Chanchal Albeli Larki

Wo Larki Wo Chanchal Albeli Larki,
Mari Nazmain Youn Parhti Hai Jaise,
In Nazmon Ka Mehvar Us Ki Apni Zat Nahi Hai,
Yani Itni Sundar Larki Aur Koi Bhi Ho Skti Hai,
Us Larki K Naam Se Jo Kuch Main Ne Apne Naam Likha Hai,
Us Se Hi Mansoob Howa,
Shaid Mera Veham Ho Lakin Main Ne Ye Mehsoos Kia Hai,
Jab Main Nazam Sunata Hon,
Wo Aankhain Churane Lagti Hai,
Mujh Se Nazrain Mil Jain To Wo Aankhain Sharmane Lagti Hai,
Kuch Lamhe Wo Chanchal Larki Gum Sum Ho Jati Hai,
Lakin Thori Der Mein Phir Se Pthar Ki Ho Jati Hai.........!

Thursday, 8 August 2013

Kaaash K Is Eid Py

 Kaaash K Is Eid Py,

Mairy Maathy Ki Bindiya,

Hoti Tari Naam Ki,

Mairy Kaan Ki Baaliyaan,

Tujh Sy Waabsita Hoti,

Ye Naak Mein Pahni Hy Jo Nathli,

Jurr Jaye Ye Bhi Tujh Sy,

Mairi Kalaai Ka Ye Kangan,

Khanky Taira Naam Ly Kar,

Kaaash Is Eid Py,

Maira Sajna Sanwrna,

Mansoob Ho Tum Sy,

Mairy Pairon Ki Payel Mein,

Sur Ho Shamil Tairi Chaahat Ka,

Kaash Ye Eid Ho Tairy Naam Ki,

Kaaaash Ye Eid Mujhy,

Tum Sy Jorr Dy,

Kaaash Ye Eid RAAHI Tujhy,

Mujh Sy Jorr Dy.

Poet Umar Raahi

Kitna Dukh Chupaye Tha Wo Mehfil Mein Gane Wala

 Kitna Dukh Chupaye Tha Wo Mehfil Mein Gane Wala,

Dil Mein Ro Raha Tha Zahir Mein Hansany Wala,

Din Eid Ka Aur Youn Chhupaye Huye Gham,

Din Eid K Muskra Raha Tha Aansoo-E-Khoon Bahany Wala,

Yuam-E-Eid Qayamt Sa Tha Us K Liye,

Qarz-E-Wafa Luta Raha Tha Anjany Dais Sy Aany Wala,

Titliya Beth Gayi Banaye Thy Jo Hathon Py Phool,

Kitna Wo Ma'Hir Tha Mehndi Lagany Wala,

Keh Raha Tha Youn Wo ZAHID Dastan Apni,

Main Nahein Apni Wafa Ko Jatlany Wala.

Log Pochhty Hain

Tum Eid Ro Ro Kar Kion Manate Ho Log Pochte Hain,

Din Eid K Kyoun Aansoo Bahaaty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Sara Shahar To Hansta Muskrata Hy Eid K Din,

Tum Apna Gham Eid Ko Kyoun Barr-Haty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Na Koi Dost Hota Sath Tumhary Na Koi Ham-Dard,

Tanha Tanha Eid Ka Din Kyoun Guzarty Ho ?
Log Pochhty Hain,

Milty Nahein Doston Sy Gaty Nahein Geet Khushi K,

Dunya Sy Katty Katty Kyoun Rahty Ho ?
Log Pochhty Hain,

ZAHID Tum To Khafa Khafa Sy Lagty Ho,

Itna Door Door Kyoun Rahty Ho? Log Pochhty Hain.

 Poet Zahid Mahmood

Kahani Sirf Itni Hai

Kahani Sirf Itni Hai
Main Sachhai Say Dar Kar
Neend Ki Waadi Main Rehti Thi
Woh Khaab K Bikhar Jaanay Say Darta Tha
Soo.....
Bay Khaabi Ka Raahi Tha
Howa Kuch Yohn.....!!
Main Ek Shab K Kinaaray Say
Achanak Khaab Nagri Say Nikal Aaye
Na Jaanay Koun Sa Jaadu Tha Is Pal MainK.....
Us Bay Khaab Raahi Ko
Sitaara Jaan Kar Aankhon Main Bhar Laaye
Ussi Shab Say
Woh Mehway Khaab Hai Aankhoon K Bistar ParAur.....
Mujh Ko Neend Nagri Ka
Koi Rasta Nahin Milta.....!!

Aj Chand Raat hai

Socha Tha Buhut khushi Se Eid MAnaonga

Socha Tha GurIyA CaLL KareGi



Aur Hum bUhut sAri Batian karengy

Aaj GurIyA Se Baat Kiye Hue



One Month Se Zyada tIme Ho Chuka Hai

gurIyA Ne CaLL B Nahi ki Aur



Chat B 3 Baar howi Hui HAi

Ajj Dil NAy chaha k GurIyA ki Awaaz Sunooga


Lekin Kismat Buhut Bure Dil Dekhati hai

Jo Socha Tha Wo nahi Howa



Maine Kabhi ALAAH se

Kuch NAhi Maanga Hi nahi


Aur Ab mAngta hOon To GurIyA KiKushiyAan

lagta HAi GurIyA Ki khushiyon Main

Mera Naam Nahi Hai



Pta nahi kya Ho Gaya Hai

sHyad Main pagal Hogaya Hon


Kuch KArnay Ko Dil Nahi Karta

jab b Kach Sochta Hon Us Ki Yaad Aati Hai


Aaj b Socha ThA

GurIyA Se Pochonga Ajj Kaisi Ho. . ?


kuch Apne Ghum Sunaonga
Kuch GurIyA K Ghum Sunoga


GurIyA Ki Awaaz Sunoga Aur

GurIyA Se KAhonga
App Bhut YAad Ati Hooo. . . . /


Aur GurIyA Se Pochonga

Chand Raat Kesi guzar rahi Hai. ??

GurIyA App Kiya Karti Rehti Ho Sara DiN ???



KiyA AaP Ko Meri YAad Aati HAi???

Kya Aap Mujh Ko Yaad Karti Ho. . .????


Aur B Bhut Si Baatain Pochonga

jab GurIyA CaLL karegi


Lakein Aaj Raat GurIyA Ne CALL nahI Ki

Abb Raat Guzarne par Apne CeLL Ko Yun Dekh Raha Tha aise Ajnabi Ho mere Liye


Acha Ab Subha Yeh Socha Shyad Us kO But zarorri Kaam hoga

Mehandi Laga Rahi hogi


ya Apni Frends Main Buzzy Hogi

Is lIye CaLL Nahi ki Hogi


Ab Subha Ki Azaan Ho Rahi Hai

May NAmaz Parh Kar GurIyA Ki KhushiYoN K Liye Dua Karta Hon


ALLAH PAK GurIyA Ko HaMesha HameSha Khush Rakhian

Aur Os K Saree Ghum Mujhe De DaIN


( AmEEn)

(SnmAamEEN)

Har Baat Pe Ranjish Har Baat Pe Hisaab

 Har Baat Pe Ranjish Har Baat Pe Hisaab

Dost

Goya Hum Ny Ishq Nahi Nokri Kar Li

Mein Hoon Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai

ﻣﯿﮟ ﮬﻮﮞ ﺗﺮﺍ ﺧﯿﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯﺩﻝ ﺩﺭﺩ ﺳﮯ ﻧﮉﮬﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﺒﮫ ﮔﺌﯿﮟ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩﻭﮞ ﮐﯽ ﮐﺮﭼﯿﺎﮞ
ﮐﺎﻧﺪﮬﻮﮞ ﭘﮧ ﻏﻢ ﮐﯽ ﺷﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﺩﻝ ﺗﻮﮌ ﮐﮯ ﺧﻤﻮﺵ ﻧﻈﺎﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﮐﯿﺎ ﻣﻼ؟
ﺷﺒﻨﻢ ﮐﺎ ﯾﮧ ﺳﻮﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﭘﮭﺮ ﺗﺘﻠﯿﺎﮞ ﺳﯽ ﺍﮌﻧﮯ ﻟﮕﯿﮟ ﺩﺷﺖ_ﺧﻮﺍﺏ ﻣﯿﮟ
ﭘﮭﺮ ﺧﻮﺍﮬﺶ_ﻭﺻﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

کیمپس کی نہر پر ہے ترا ہاتھ ہاتھ میں
موسم بھی لاﺯﻭﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﮬﺮ ﺍﮎ ﮐﻠﯽ ﻧﮯ ﺍﻭﮌﮪ ﻟﯿﺎ ﻣﺎﺗﻤﯽ ﻟﺒﺎﺱ
ﮬﺮ ﭘﮭﻮﻝ ﭘﺮ ﻣﻼﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﻣﯿﺮﯼ ﺗﻮ ﭘﻮﺭ ﭘﻮﺭ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﺳﯽ ﺑﺲ ﮔﺌﯽ
ﺍﺱ ﭘﺮ ﺗﺮﺍ ﺧﯿﺎﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

ﭼﮭﻠﮑﺎ ﺳﺎ ﭘﮍ ﺭﮬﺎ ﮬﮯ ﻭﺻﯽ ﻭﺣﺸﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﺭﻧﮓ
ﮬﺮ ﭼﯿﺰ ﭘﮧ ﺯﻭﺍﻝ ﮬﮯ ﺍﻭﺭ ﭼﺎﻧﺪ ﺭﺍﺕ ﮬﮯ

 
Mein Hoon Tera Khayal Hai Aur Chaand Raat Hai
Dil Dard Se Nidhaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Aankhon Mein Chubh Gayi Teri Yaadon Ki Kirchiyaan
Kaandhon Pe Gham Ki Shaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Dil Torr K Khamosh Nazaron Ka Kiya Mila?
Shabnam Kaa Yeh Sawaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Phir Titliyaan Si Urrne Lagi Dasht-e-Khuwab Mein
Phir Khuwahish-e-Wisaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Campus Ki Nehar Per Hai, Tera Haath Haath Mein
Mousam Bhi Laazawal Hai  Aur Chaand Raat Hai

Meri Tou Poor Poor Men Khushbu Si Bus Gayi
Is Par Tera Khayaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Her Iik Kali Ne Aurh Liya Maatmi Libaas
Her Phool Per Malaal Hai Aur Chaand Raat Hai

Chalka Saa Parr Raha Hai Wasi Wehshaton Ka Rung
Her Cheez Pay Zawaal Hai Aur Chaand Raat Hai……

Din Bhar Khafa thi Mujh Se Magar Chaand Raat Ko


 
Din Bhar Khafa thi Mujh Se Magar Chaand Raat Ko ...


Mehndi Se Mera Naam Likha Osne Haath Par ..!

Bataao -- Kahan Milogi Tum...??

Bataao --
Kahan Milogi Tum...??

Tumhein Ek Phool Dena Hai..!!
Tum Sey Ek Ehad Lena Hai.

Tumhein Imaan Kehna Hai,
Tumhain Dil, Dharkan, Jaan Kehna Hai.

Jo Juda Karney Ki Hain Sazishein,
Unhein Bejaan Karna Hai.

Haan....!!!
Tum Sey Bahot Kuch Kehna Hai.

Batao...!!!
Kya Mohabbat Mein Ek Phool Bahut Hoga..??

Ya...!!!
Phir Tum Chaand Maangogi..??

Ya...!!!
Phir Meri Jaan Maangogi..??

Ya...!!!
Humesha Ka Tum Sath Maangogi..??

Ya...!!!
Phir Hijr Ka Aazaab Maangogi..??

Batao...!!!
Kahan Milogi Tum...??
Tumhein Ek Phool Dena Hai...

Aey Chand


Meri Eid


Us ki aankhon Me aansou they Meri khatir

Us ki aankhon Me aansou they Meri khatir.......


Bus wohi ik LaMha Mujhe zindagi se bhi piyara laga

Usay MerI muhabat se Balaa ka 'Ishq' Ho Jaye


Agar wo ...
MerI AankhoN MaI¿

Mujassam dekh le khud ko ...

Usay MerI muhabat se Balaa ka 'Ishq' Ho Jaye¿

Beqarai Si Beqarari Hai

Beqarai Si Beqarari Hai
Wasl Hai Aur Firaaq Taari Hai

Jo Guzaari Na Ja Saki Hum Se
Hum Ne Woh Zindagi Guzari Hai

Us Se Kahiyo Kay Dil Ki Galion Mein
Raat Din Teri Intezari Hai

Ik Mehak Samt-e-Jaan Se Aai Thi
Main Yeh Samjha Teri Sawari Hai

Haadison Ka Hisab Hai Apna
Warna Har Aan Sab Ki Baari Hai

Bin Tumhare Kabhi Nahi Aai
Kya Meri Neend Bhi Tumhari Hai?

Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja

Eid Ka Din Hay Dhola Jaldi Ghar Aaja
Kuch Baatain Apni Mubahat Ki Bata Ja

Mujhay Apnay Galay Say Laga Ja
Mujhay Apnay Dil Ki Dharkan Suna Ja

Dhola Apnay Haatoh Ki Mehndi Dikha Ja
Zamanay Ko Muhabat Ka Rang Dikha Ja

Dhola Tu Aaja Meri Eid Kara Ja
Apni Baaho May Muj Ko Araam Kara Ja

Apni Choriu Ki Khobsorat Khanak Tu Suna Ja
Dhola Tu Aaja Galay Say Laga Ja Meri Eid Kara Ja

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi

Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi

Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga

Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni

Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga

Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga

Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey

Lo Ek Aur Eid B Guzer Gai Aisey
Sadiyon Se Chali Aa Rehi Hai Jesey

Wo Udasi, Wohi Yadein, Wohi Tanhai
Mili Hi Kab Thi Hamein In Se Rehai

Mehboob B Hai Naraz Sa Rootha Hua
Her Rishta B Hai Aisey Hi Utha Hua

Bohat Khush They Loag Chand Daikh Ker
Hum Udas Us Mein Mehboob Daikh Ker

Maan Liya Mehboob Se Ziadti Hum Ne Ki
Per Ganwa Liya Her Rishta Dey Ker Jan B

Kuch Anjan Rishtey Chaha Tha Barh Ker Jan Se
Han Chorr Gaey Wo B Be-Wafa Maan K

Isi Sadmey Mein Her Khushi Guzer Jati Hai
Kiya Cheez Hai Muj Mein, Jo Mujey Hi Rulati Hai

Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehna K Lout Aao Suna Hai Eid Aai Hai
Ek Baar To Aa K Mil Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Bin Tere Bohat Eiden Guzari Hai
Is Baar To Milne Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana Judai Se Mohabbat Kam Nahi Hoti
Ye Dunya Ko Batla Jaao K Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Chahat Ka Bharam Na Totne Dena
Tum Pal Do Pal Hi Aa Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Usey Kehana K Tanha Hai Koi Eid K Din Bi
Ye Tanhai Mita Jaao Suna Hai Eid Aai Hai

Chand Meri Kherki Mein Aye

Chand Kabhi Tu Taron Ki Is Bheer Se Nikle

Aur Meri Kherki Mein Aye
Bilkul Tanha Aur Akela

Mein Us Ko Bahon Mein Bharlon

Aik Hi Sans Mein Sab Ki Sab Wo Baatein Karlon
Jo Mere, Talo Se Chemti

Dil Mein Semti Rehti Hain

Sab Kuch Aise Ho Jaye, Jab Hai Na!

Chand Meri Kherki Mein Aye, Tab Hai Na!

Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main

Chand Raat Ko Tujhe Khud Choorian Pehnahoon Main
Jee Karta He Tujhe Khud Sanwaroon Sajaoon Main

Mehndi Ki Khushboo K Saat Teri Sansoo Main Utroon
Ho Aisa K Teri Hathelioon Main Khud Ko Bikhraoon Main

Har Khushi Ki Tarha Teri Zaat Main Rahoon Har Lamhe
Tere Mukhre Pe Kiran Si Ban Kar Muskaraoon Main

Jaise Hawa Ati He Jaise Chandni Ati He Ghar Tere
Pata Tujhe Na Chale Is Andaz Se Kabhi Aaoon Main

Tere Dil Main Samaa Jaoon K Aisa Hi Ho Jae
Kabhi Darkan Ban Kar Tere Dil Ko Dharkaoon Main

Wo Jo Khanakti Hain Chamakti Hain Teri Nazook Kalayoon Main
Ho Aisa K Khud Hi Wo Choraiaan Ban Jaoon Main

Is Dunia-e-Hasrat Mein Bare Hum Ne Azab Dekhe

Is Dunia-e-Hasrat Mein Bare Hum Ne Azab Dekhe,


Ishq Ki Lambi Manzil Thi Raste Sare Kharab Dekhe,


La Ilaj Is Marz Mein Kia Kia Ilaj Dekhe,


Kisi Ne Ghungro Bandh Liye Kai Peete Sharab Dekhe,


Tare Gin Gin Wqt Guzara Hijar Ki Lambi Ratain Dekhain,


Neend To Mujhe Qleel Aai, Jagrate Behisab Dekhe,


Sohni Mahiwal Shereen Farhad Mohabbat bemisal Dekhi,


Sassi Punoo Laila Majno Heer Ranjha K Bad Dekhe,


Wafa Hai Riasat Apni Phir Bhi Hum Ghreeb Thehre,


Bewafai Ka Taaj Pehne Kitne Hum Ne Nawab Dekhe,


Kia btaon Jab Neend K Us Lamhe Mein Kia Dekha,


Wohi Tanhai Wohi Judai Us Se Milne K Bas Khawab dakhe..................!

Mere Siyad Jab Azaab Bhi Kar Jate Hain

 Mere Siyad Jab Azaab Bhi Kar Jate Hain,

Jate Jate Bhi Mere Kat K Par Jate Hain,

Mere Ehsanon Ka Badla Mujhe Aise To Na De,

Yar Yaron K Faqat Naam Pe Mar Jate Hain,

Takta Rehta Hon Main Raahain K Kabhi Aao Gay,

Isi Umeed Pe Din Mere Guzar Jate Hain,

Jab Bhi Wo Aain Khizan Pe Bharain Aain,

Guzrain Jis Rah Se Wo Phool Bikhar Jate Hain,

Raah-E-Ulfat Mein Qadam Soch Samajh Kar Rakhna,

Yahan Dastaar Nahi Jati Hai Sar Jate Hain........................!