Dhoondo Ge Agar Mulkon Mulkon
Milne Ke Nahin Nayaab Hain Hum
Tabeer Hai Jiski Hasrat-0-Gham
Aye Humnafaso Woh Khwaab Hain Hum
Aye Dard Bata Kuch Tu Hi Pata
Ab Tak Yeh Mu’ammya Hal Na Hua
Hum Mein Hain Dil-E-Betaab Nihan
Yah Aap Dil-E-Betaab Hain Hum
Main Hairat-O-Hasrat Ka Maara
Khamosh Khada Hoon Sahil Par
Dariya-E-Mohabbat Kehta Hai
“Aa Kuch Bhi Nahin Payaab Hain Humâ€
Lakhon Hi Musafir Chalte Hain
Manzil pohunchte Hain Do Ik
Aye Ahl-E-Zamana Qadr Karo
Nayaab Na Hon Kamyaab Hain Hum
Murghan-E-Qafas Ko Phoolon Ne
Aye Shaad Ye Kahla Bheja Hai
Aa Jao Jo Tum Ko Aana Ho
Aise Mein Abhi Shadaab Hain Hum
No comments:
Post a Comment