Mein ik nakaam sa, bhatka hua
ik shaks be maani
k jis ki soch ka her rabt toota hy
guma sa hy
k jis ki zaat k ander
kahin koi khala sa hy
jo mere lafz hein
mujhse he roothay hein khafa se hein
jo meri soch k mehwar hein
wohi mujhse juda se hein
mein, jese ho kisi selaab ki zad per shajar koi
k jis ko behr soorat doobna anjaam hona hy
safar chahe kahin ka ho
mujhe nakaam hona hy
meri tadbeer haray hy
meri apni lakeeron se
isay kehna usay kehna to bus
ilzaam dena hy
k mein ne apni herat ko
koi to naam dena hy
mein apni zaat ka qaidi
mein apni baat ka mujrim
mein apni jang ka munsif
mein apni qabr ka matam
mujhe khud se he milna hy
khud he se rooth jana hy
khud he khud ko manana hy
khud he ko aazmana hy
mujhe rukna kahan per hy
kahan se loat ana hy
abhi mujhko nahin maloom
mein kin raston pe chlti hun
wo kesi aag hy jis mein yunhi din raat
jalti hun
azal se bhatki hun ya ub mein rasta bhool bethi hun
mujhe tasleem karna hy
k
mein ik aam sa nakaam sa ik shaks hun
aur bus …
No comments:
Post a Comment