Barka’ein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein..!!
Sehra Mera Chehra Hay, Samander Teri Ankhein..!!

Phir Kaun Bhala Daad-e-Tabassum Inhein Dega..!!
Roo’yein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein..!!

Khali Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki Hatheli ..!!
Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein..!!

Boojal Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin..!!
Khulti Hein Buhat Dil Mein Uther Kar Teri Ankhein..!!

Ab Takh Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mitt’ta
Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer, Teri Ankhein..!!

Mumkin Hoo Toa Ek Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon..!!
Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader, Teri Ankhein..!!

Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon..!!
Shayid Muje Dekhein Ghi Palat Kat Teri Ankhein…!!

Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin..!!
Woh Kaanch Ka Pekar Hay Toa Pather Teri Ankhein..!!

No comments:
Post a Comment