affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Koi Din Hai Na Raat Hai Sahib

Friday, 10 January 2014

Koi Din Hai Na Raat Hai Sahib

کوئی دن ھے نہ رات ہے صاحب
کیا یہی کائنات ہے صاحب ؟

یہ  جو  دل ھے بڑا  کمینہ  ھے
صاف سیدھی سی بات ھے صاحب

تھک گیا ہوں میں اپنی صحبت سے
کوئی  راہ  نجات  ھے  صاحب ؟

بانٹتا پھر رہا ہے ہر کوئی
درد گویا زکوٰۃ ہے صاحب

رائگانی کی اس  کہانی  میں
کیا مجھے ہی ثبات ہے صاحب

اشک حرفوں میں ڈھلتے رہتے ہیں
آنکھ  جیسے  دوات  ہے  صاحب

وہ نگاہیں  فقط  نگاہیں نہیں
ان میں میری حیات ھے صاحب

کانپتا ہے بدن تو ایسے ہی
ہاتھ میں انکا ہاتھ ہے صا حب

یہ جو مشکیزہء جگر ہے نا
اس میں شامل فرات ہے صاحب

میر صاحب تو میر صاحب تھے
.... آپ میں کوئی بات ہے صاحب


Koi Din Hai Na Raat Hai Sahib
Kai Yehi Kainaat Hai Sahib ?

Yeh Jo Dil Hai Barra Kamina Hai
Saaf Seedhi Si Baat Hai Sahib

Thak Gaya Hoon Mein Apni Sohbat Se
Koi Raah-e-Nijaat Hai Sahib ?

Bant'ta Phir Raha Hai Har Koi
Dard Goya Zakaat Hai Sahib

Raigani Ki Is Kahani Mein
Kia Mujhe He Sabaat Hai Sahib

Ashk Harfo'n Mein Dhaltey Rehtay Hein
Aankh Jaisay Dawaat Hai Sahib

Woh Nigahein Faqat Nigahein Nahi
Un Mein Meri Hayaat Hai Sahib

Kaanpta Hai Badan Tou Aisay He
Hath Mein Un Ka Hath Hai Sahib

Yeh Jo Mashkeeza-e-Jigar Hai Naa
Is Mein Shamil Furaat Hai Sahib

Meer Sahib Tou Meer Sahib Thay
Aap Mein Koi Baat Hai Sahib.....

No comments:

Post a Comment