Jaane aa pohnchi kis raH pe main
Yunhi chalte hue
ke na khabar hai ab
manziloN ke nishaN ki
Dil ki aur na jism o jaaN ki
Chalti bas jaa rahi hooN main ab
Inhi anjaani si raahoN pe
daste yaadoN ke naag jahaN
hoga kya sochta dil hai mira
iss bhiyaanak se andhere ne
meri zaat o hayaat ko yuN
kiya hai mehsoor ke
har tarf haiN kayee humsafar mere aur
phir bhi hooN jaane kyuN
tanha........tanha.......yahaN
phaile qehqe mere har taraf
phir bhi hooN jaane kyuN
ghamzada.....ghamzada... main yahaN
hota mehsoos yuN ab mujhe
ke udaasi ke kafan meiN lipti si hai
zinda laash meri
ho gayee ab yahaN
uss lehad se bhi badh kar yeh zaat meri
No comments:
Post a Comment