affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Laakh Masmaar Kiye Jaen Zamane Wale

Thursday, 28 November 2013

Laakh Masmaar Kiye Jaen Zamane Wale

Laakh Masmaar Kiye Jaen  Zamane Wale
Aa He Jatey Hein Naya Shehar Basane Wale

Iski Zad Par Woh Kabhi Khud Bhi Tou Aa Sakte Hein
Yeh Kahan Jantey Hein  , Aag Laganay Waley

Ab Tou Sawan Mein Bhi Barood Barasta Hai
Ab Woh Mo0sam Nahi Barish Mein Nahane Waley

Sar Se Jata He Nahi Wada-e-Farwa Ka Junoo
Mar Gaey Adal Ki Zanjeer Hilaney Waley

Hum Ne Kehte Thay Tujhe Waqt Bohat Zalim Hai
Kia Huey, Ab Woh Tere Naaz Uthaney Waley

Saey Mein Bethi Hui Nasal Ko Maloom Nahi
Dhoop Ki Nazar Huey Pairr Laganey Waley

Ghar Mein Diwarein Hein Or Sehan Mein Aanklhein Hein Saleem
Itnay Aazaad Nahi Wada Nibhane Waley………..

No comments:

Post a Comment