Ujray huey hain Harappa k Aasaar Ki Tarah
Zinda hain log waqt ki Raftaar Ki Tarah
Kia Rehna aesy Sheher main Majburion k sath
Biktay hain log shaam k Akhbar Ki Tarah
Bachon ka Rizq Moat k Juwey main Rakh Dia
Circus main koodtay huey Fankar ki Tarah
Qatil Brajmaan Hai Munsif k Saiey Main
Maqtool Phir raha hai Azadaar ki Tarah
Waday zaruraton ki Nazar kar diye Gaey
Rishtay hain saray rait ki Diwaar ki Tarah
MOHSIN Merey wajood ko sangsaar kartey waqt
Shamil tha sara sheher ik Tehwaar ki trah!
No comments:
Post a Comment