Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna
Hain log buhat khas hamein aam na karna
Jane ki ijazat to diye dete hain lekin
Raste mein kahin aate huye sham na karna
Hum bhi na dikhayein gay sar e rah gareban
Tum bhi mere waadon ko sar e aam na karna
Is shart peh hai turk e talluq ki ijazat
Badnam zamane mein mera naam na karna
Badnam na karna hamein is shehar e wafa mein
Mashhoor kahin pyar ka paigham na karna
Yadon ka nasha hosh ura deta hai Arshad
Saqi se kaho samne ab jaam na karna
No comments:
Post a Comment