affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha

Wednesday, 25 May 2016

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha

Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha


Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey

Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha


Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai

Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha


Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne

Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha


Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain

Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha


Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala

Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha


Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta

Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha

 

Basheer Badar

No comments:

Post a Comment