Tum meri aankh ke tevar na bhula paaoge
Ankahi baat ko samajhogey to yaad aaonga
Hum ne khushiyoon ki tarhan dukh bhi ikhatte dekhe
Safah-e-zeest ko paltogey tu yaad aaonga
Is judai main tum andar se bikhar jaogay
Kisi maa'zoor ko dekhogay tu yaad aaonga
Isi andaaz mein hote thay mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likhogey tu yaad aaonga
Meri khushboo tumhen kholegi gulaabo'n ki tarhan
Tum agar khud se na bolo gay tu yaad aaonga
Sard ratoon ke mehakte huwe sannaton mein
Jab kisi phool ko choomogey tu yaad aaonga
Aaj tu mehfil-e-yaaraan pe ho magroor bohut
Jab kabhi toot ke bikhogey tu yaad aaonga
Ab tu ye ashk mein hontoo se chura leta hoon
Haath se khud inhein ponchogey tu yaad aaonga..
.
Shaal pehnayega ab kaun december mein???
Baarishoon mein kabhi bheegogey tu yaad aaonga
Haadse ayenge jeevan mein tu tum hoke nidhaal
Kisi deevar ko thaamogey tu yaad aaonga
Is mein shaamil hai meri bakht ki tareeki bhi
Tum siyah rang jo pehnogey tu yaad aaonga
Book: Aankhen Bheeg Jati Hain..
No comments:
Post a Comment