Aas nirash ka zakhmi panchhi aakhir kab tak gaye ga
jo bhi phool khila hai ik na ik din wo murjhaye ga
hum ne mana lakh baharen aayengi phir jayengi
shakh se toota pata yaroon wapas kese jaye ga
agle sawan khul kar barsenge ye dil ne thani hai
kehte hain ke agle sawan wo bhi laut ke ayenge
ek zamane se dekhi hai hum ne reet zamane ki
jis ke hath mein lathi hogi wo malik kehlaye ga
mere aangan ka tohfa hai kachi mati ki khushbu
ye tohfa wo paye ga jo sawan ban kar ayega
yun to pani bharne aayi`n kitni sakhyan panghat par
jis ka pani ghar tak pohanche wo bharya kehlayega
No comments:
Post a Comment