affiliate marketing Famous Urdu Poetry: kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga

Tuesday, 25 February 2014

kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga

kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga
Kaha nahin tha
kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga
Yeh zindgi tum pe bar ho gi
Khizan mein lipti bahar ho gi
Tum haft-e-afalak mein talasho gy mera chehra
Miri wafaen saza lagen gi
Fizaen har pal khafa lagen gi
Kaha nahin tha
Zamana dharkan ki taal sur ka
Azal se beri hai yad rakhna
Wisal lamhon ke silsalon se
Lahoo ka barh kar kharaj mangy
Firaq ka bas yeh raaj mangy
Yeh do dilon ko kabhi jo ik sath dekhta hai
Hawa pe sazish ka jall rakh kar pukarat hai
Suno parindo mohabbaton ka milan kabhi bhi nah ho saky ga
Aor is zameen mein koi bhi chahat ka beej hargiz nah bo saky ga
kaha nahin tha
Magar jo main ne kaha tha tum ne suna hi kab tha
Suna jo main ne woh tum ne janan kaha hi kab tha

1 comment:

  1. kaha nai tha????
    dosti karo tow nibha lena
    na nibha sako tow wadein na karna
    par jo humne kaha tha aapne suna hi kab thaa
    Suna jo main ne woh tum ne janan kaha hi kab tha.......
    aisa hoaa ki jaooo gay tum agar
    tow yunhiii lutaaaygiii hamarii khushii hardam..
    kya dostii nibayii tumneee..
    kaha nai tha...???
    ki nibhaaa nai paooogay

    ReplyDelete