Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Hone Deta
Woh Kahani Ko Mukammal Nahi Hone Deta
Sang Bhi Phainkta rehta Hai Kaheen Saahil Se
Aur Pani Men Bhi Halchal Nahi Hone Deta
Kasa-e-Khuwaab Se tabeer Utha Leta Hai
Phir Bhi Aabadi Ko Jungle Nahi Hone Deta
Dhoop Men Chaa’on Bhi Rakhta Hai Saron Par Lekin
Aasmaan Par Kaheen Badal Nahi Hone Deta
Abr Bhi Bhaijta Rehta Hai Sada Basti Men
Gali Koochon Men Bhi Jal Thal Nahi Hone Deta
Roz Ik Lehar utha Lata Hai Be-Khuwabi Ki
Aur Palkon Ko Bhi Bojhal Nahi Hone Deta
Phool He Phool Khilata Hai Sar-e-Shaakh Wajood
Aur Khushboo Ko Musalsal Nahi Hone Deta
Aalam-e-Zaat Men Darwaish Bana Deta Hai
Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Hone Deta………
No comments:
Post a Comment