kaash main tere bun ghosh(Ear) men bunda hota
raat ko bekhabri men jo machal jata man
to tere kaan se chup chaap nikall jaata man
subha ko girtey teri zulfon se jab baasi phool
mere kho jaaney pe hota tera dil kitna malool
tu muje dhoondti kis shauq se ghabraahat men
apney mehkey huey bistar ki her ik silwatt men
joon he kerti teri narm unglyaan mehsoos mujhe
milta us gosh(Ear) ka phir gosha-e-maanoos muje
kaan se tu muje her giz na utaara kerti
tu kabhi meri judaaee na gawaara kerti
yun teri qurbat-e-rangeen ke nashey men madhosh
umar bhar rehta meri jaan man tera halqa b’gosh
No comments:
Post a Comment