شمعِ غزل کی لَو بن جائے‘ ایسا مصرعہ ہو تو کہو
!اِک اِک حرف میں سوچ کی خوشبو‘ دل کا اُجالا ہو تو کہو
رازِ محبت کہنے والے لوگ تو لاکھوں ملتے ہیں
!رازِ محبت رکھنے والا‘ ہم سا دیکھا ہو تو کہو
کون گواہی دے گا اُٹھ کر جھوٹوں کی اس بستی میں
!سچ کی قیمت دے سکنے کا تم میں یارا ہو تو کہو
ویسے تو ہر شخص کے دل میں ایک کہانی ہوتی ہے
!ہجر کا لاوا‘ غم کا سلیقہ‘ درد کا لہجہ ہو تو کہو
امجد صاحب آپ نے بھی تو دُنیا گھوم کے دیکھی ہے
!ایسی آنکھیں ہیں تو بتاﺅ! ایسا چہرا ہو تو کہو
Shama-E-Ghazal Ki Lao Ban Jaye Aisa Misra Ho To Kaho,
Ek Ek Harf Mein Soch Ki Khushbo Dil Ka Ujala Ho To Kaho,
Raz-E-Mohabbat Kehne Wale Log To Lakhon Milte Hain,
Raz-E-Mohabbat Rakhne Wala Hum Sa Dekha Ho To Kaho,
Kon Gawahi De Ga Uth Kar Jhooton Ki Is Basti Mein,
Sach Ki Qeemat De Sakne Ka Tum Mein Yara Ho To Kaho,
Waise To Har Shakhs K Dil Mein Aik Kahani Hoti Hai,
HIJAR Ka Lawa Gham Ka Saleeqa Dard Ka Lehja Ho To Kaho,
AMJID Sahib Aap Ne Bhi To Dunia Ghoom K Dekhi Hai,
Aisi Aankhein Hain To Batao Aisa Chehra Ho To Kaho...................!
Very nice ghazal poetry.
ReplyDeleteI am sharing some of my favorite ghazal poetry here.
Qurbaton mein bhee judai key zamanay mangay
Dil woh be-mehar ke ronay key bahanay mangay
Hum na hotay tu kisi aur key charchay hotay
Khulqat-e-shaher tu kehnay ko fasanay mangay
Yahi dil tha ke tarasta tha marasim key liay
Abb yahi tarkey-taaluq key bahanay mangay
Apna yah haal keh ji haar chukay lut bhi chukay
Aur mohubaat wohee andaaz puranay mangay
Dil kisi haal pah qane`h hi nahin jaan-e-FARAZ
Mil gaay tum bhee tu kaya aur na janay mangay