affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main sub janti thi . .

Thursday 10 October 2013

Main sub janti thi . .

Hamain malum tha ye bi
Hamain wapas palatna hai
Junoon ki akhri had se
Sakun ki jang larne tak
Khirchyun main bikhrne tak
Na koi sath de ga
Na koi hath de ga
Shanaasa har shakhs hamara
Hamain chor jaye ga
Sapne bunte khilin thi jo
Wo kaliyan tor jaye ga..

Hamain malum tha koi gosha nahi ho ga
Jahan pe panaah payain ge
Magar phir bhi
Jub tum ne sath manga tou
Bina soche
Bina samjhe
Rida.e.mohabbat orrhe
Zad.e.rah lye bina
Tere qadmun k peche hi
Nikal pare hum is safar main
Hamain roka bhi tha dil ne
Wehsat ke safar main jab
Tum sakun pa lo ge
Be-maaya kar k zaat ko meri
Kisi k sath tum aage nikalte jao ge
Hamain maluum tha ye sub
Safar se le kar tere bichre ki azeyat tak
Main sub janti thi . .

No comments:

Post a Comment