affiliate marketing Famous Urdu Poetry: June 2013

Sunday 30 June 2013

عجب پاگل سا لڑکا ہے

عجب پاگل سا لڑکا ہے
عجب پاگل سی میں بھی ہوں
اسے مصروں میں ، شعروں میں
تو میں یوں یاد کرتی ہوں
خوابوں کے جزیروں پر
اسے آباد رکھتی ہوں
براہراست کہنے سے مگر
ہاں میں ڈرتی ہوں
عجب پاگل سا لڑکا ہے
عجب پاگل سی میں بھی ہوں

Sunday 23 June 2013

Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai

Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai,
meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai,

Kis tarah baat likhun dil ki usse, wo aksar,
doston ko mere khat padh ke suna deta hai,

Saamne rakh ke nigaahon ke wo tasveer meri,
apne kamre ke charaaghon ko bhuja deta hai,

Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne,
uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai…

Wo Iqraar Kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta’ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy.

Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhy.
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kry

Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kry.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kry

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

yahin hansa tha

yahin kahi pe roya tha

yahin darakhton k saye main

?thak k soya tha

yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi

wo hansi jo har pal sath chalti thi

yahin pe tha wo larakpan

yahin kahin pe tha

yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi

yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha

shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili

main kitni dear khara dhoop main raha tanha

tamam yar mery khush meri saza pe thy

yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

?

?

?

Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua

Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua
fasl e gul kitnay qareeb aaii hai,andaza hua

Subha yuun nikli,sanwar kay jis terha koi dulhan
shabnam aawaiza hui,rang e shafaq ghaza hua

Haath meray bhool bethay dastaken dainay ka fun
band mujh par jab say us kay ghar ka darqaza hua

Rail ki seeti men kesay hijr ki tamheed thi
us ko rukhsat kar kay ghar loatay to andaza hua

Saturday 22 June 2013

Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi

Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.

Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi.

Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai

Jo dard ke sehra main akela bhi bahot hai

Us ke liye deewar ka saya bhi bahot hai

Dekha nahi tanhai main tum ne kabhi us ko

Bichray huay logon ko woh roya bhi bahot hai

Kuch tujhko muhabbat pe yaqeen na wafa pe

Kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bahot hai

Beenayi andheroon se bhala kesay bachaata

Ik shakhs tere hijr main jaga bhi bahot hai

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga....

HAMARA MANN RAKH LENA

NA POCHO KESAY KAT TAY HEN

KABI YADEN RULATI HEN

KABI MOSAM STATAY HEN

USAY KEH DO HUM AYE HEN

HUMEN MAYOS NA KARNA

HAMARA MANN RAKH LENA

HUMEN WAPIS NHI JANA

HUMEN DIL MEN BASA LENA

HUMEN APNA BANA LENA

BUHAT TARPAY HEN DIL SY

BUHAT ROTHA NHI KARTAY

MOHABBAT TU IBADAT HY

ISAY RUSWA NHI KARTAY

ZAMANAY SY CHUPATAY HEN

KABHI CHARCHA NHI KARTAY

SANAM AESA NHI KARTAY

Friday 21 June 2013

Woh Faisla Na Karti To Kia Karti_?

Woh Faisla Na Karti To Kia Karti_?

Mai Hawa'on Sa Pagal Woh Charag Si Larki_

Hum sa be-dard koi kia ho ga

Hum tujhe bhool k khush baithay hain....

Hum sa be-dard koi kia ho ga. . . ?

Tuesday 18 June 2013

Ishq Ki Raah Me Sath Chaly Thay Dono

Ishq Ki Raah Me Sath Chaly Thay Dono,

Hum To Barbaad Huwe,
Ap Kahan Tak Pohanchy..!!

Wo mera khayal rakhti thi

Main aayina tha wo mera khayal rakhti thi.....
main toot'ta tha to wo chun kar sambhal rakhti thi.....
har ek masly ka hal nikaal rakhti thi....
zaheen thi mujhy hairat me daal rakhti thi.....
main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha.....
wo rokti thi mujhy kal pe taal rakhti thi.....
wo mery dard ko chunti thi apni poron se.....
wo mery wasty khud ko nidhal rakhti thi.....
duaayen us ki wabalon ko rok leti theen....
wo chaar-su mery hathon ki dhaal rakhti thi.....
wo doobny nahi deti thi dukh k darya me...
mery wajood ki naao sambhal rakhti thi......
ik aisi dhun k nahi phir kabhi suni main ne.....
wo munfarid sa hansi me kamaal rakhti thi....
usay nadamaten meri kahan gawara theen.....
wo mery wasty aasaan sawal rakhti thi......
bichar k us se main dunya ki thokaron me hun.....
wo pas thi to mujhy la-zawal rakhti thi..

Moat Bhi Zaroori Hy

Waqt K Shikanjon Ne..!
Khwahishon K
Phoolon Ko..!
Noch, Noch Tora Hy..!
Kiya Ye Zulm Thora Hy..?
Dard K Jazeeron Ne..!
Aarzu K Jeevan
Ko..!
Maqbaron Mein Dala Hy..!
Zulmaton K Deray Hain..!
Log Sb Lutery Hain..!
Moat Rooth Bethi Hy..!
Zaat Reza, Reza Hy..!
Taar, Taar Daman Hy..!
Dard, Dard Jeewan Hy..!
Shabnami Si Palkain Hain..!
Qurb Hy, Na Doori Hy..!
Zindagi Adhoori Hy..!
Ab Yaqeen Aaya
K..!
Moat Bhi Zaroori Hy..!

Mere Shikwon Pr Us Ne Hans K Kaha

Mere Shikwon Pr Us Ne Hans K Kaha,

    "O PAGAL";(

Aur Kisi Ne Tum Se ki Hai "Wafa" Jo Hum Krty...?

Meri Yadoon se nikalna tere bas me na ho

Meri Yadoon se nikalna tere bas me na ho.!

Tum ne is darjay mujhe toot k chaha kb tha.!

Sunday 16 June 2013

Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be
Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho
To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Humain Yeh Kase Yaqeen Aye
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai
Ager Muhabat Nahi Kisi Se
To Ser Per Guzerny Wali
En Qayamtoon Se Pyaar Kion?

Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal
Tumahri Sangat Myn They Guzare
Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian
Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi
Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi

Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai
Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai

Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon
Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon

Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho
Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain

Tum Apni Termeem E Zaat Ker Lo
Gumaan K Asmaan Se Uttro
Zameen Pe A Ker Baat Ker Lo
Hum Se Nahi To Choro
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo

Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee

Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,
Peyase hont they aankh samandar thee,


Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,

aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,

aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,

tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,

sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,

kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,

Mohsin keya jane keyo dhoop se be parwah,
wo apne ghar k dehleez par bethi rehti thee

Rog aise bhi gham e yaar se lag jate hen

Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jate hen
Dar se uthte hen to deewar se lag jate hen

Ishq aghaz men halki si khalish rakhta hy
Bad men senkron aazar se lag jate hen

Pehle pehle hwas ki ik aadh dukan kholti hy
Phir to bazar k bazar se lag jate hen

Bebsi bhi kabhi furqat ka sabab bunti hy
Ro na payen to galay yaar se lag jate hen

Dagh daman k hon dil k hon k chehre k FARAZ
Kuch nishan umar ki raftar se lag jate hain

Thursday 13 June 2013

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De

Boseeda Purane Kisi Saaman Mein Rakh De,
Ya Phir Kisi Toty Howe Guldan Mein Rakh De.

Chahat K Charaghon Ko To Jalna Hy Jalenge,
To In Ko Utha Kar Bhaly Tofan Mein Rakh De.

Qadmon Mein Tere Masly Howe Phool Nhe Han,
Chahat Ki Chitta Hy Kisi Shamshan Mein Rakh De.

Saansein Na Chuka Paai Hon Qemat Jo Wafa Ki,
Ab Jism Ki Matti Ko B Tawan Mein Rakh De.

MOHSIN Tere Jazbat Yahan Kon Sunega,
Be Rabt Khayalat Ko Deewan Mein Rakh De.

Bicharrna Hy To Khushi Sy Bichrro..


Bicharrna Hy To Khushi Sy Bichrro..
Sawal Kessy, Jawaab Chorro !!!!!

Kissy Mili Hain Jahan Ki Khushiyan ?????
Milay Hain Kiss Ko Azaab Chorro !!!!!

Naye Safar Py Jo Chal Parray ho..
Mujhe Khabar Hy K Khush Barray ho..

Hy Kon Ujrra Tumharay Peechay ?????
Ya Kiss K Tootay Hain Khuwab Chorro !!!!!

Mohabbaton K Tamam Vaaday..
Nibhaye Kiss Ny, Bhulaye Kiss Ny ?????

Tumhein Pashemani Ho Gi 'janaa'n
Jo Meri Maano Hisaab Chorro...!!

Mere hatho mein tash k pattey

Mere hatho mein tash k pattey,
Uske hatho mein Nabz patton ki,
Shart ye thi k jeetne k liye,
4 patton mein ikk tasalsul ho,
Paan ka badsha tha unki talab,
Mujh ko darkar phool ki begum,
Unke chehre pe aetimaad ka noor,
Meri ankhon mein sirf herani,
Ma ne danista apne hathon se,
Paan ka badisha hi phenk diya,
Qehqahey se ubal pare har soo,
Aur ma sochta hun reh reh k,
13 patton k khel mein kal rat,
Jeet jata to maat ho jati..!

Main rootha to wo mana kr chal diya

Main rootha to wo mana kr chal diya,
Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya,

Ye such hai k wo Ehd-shikn tha,
Magar kuch waday b nibha kr chal diya,

Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat,
Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya,

Milna na milna NASEEB ki baat hai,
Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya,

Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum,
Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...

Dil Maseeha Hay Samjhta Hay Tabiyat Uski

Dil Maseeha Hay Samjhta Hay Tabiyat Uski,
Narm Guftaar Sahi Talkh Hay Aadat Uski,

Tum Zara Pyar Se Pocho K Ye Qisa Kia Hay,
Kyon Bhala Chaand Ne Orrhi Hay Shbahat Uski,

Log Itne Bhi Tere Shehar K Sachay To Nahi,
Sun To Leni Thi Zara Dair Wazahat Uski,

Dil Ye Kehta Hay "Wasi"Loat Chalain Us k Nagar,
Yad Ati Hay Jab Sar-e-Shaam Rafaqat Uski,

Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai

  • Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai ,
    Tere Lout ane Ka Imkan Saja Rakha hai,

    Sans tak bhi nahi lete hain tujhe,Sochte waqt
    hum ne is kaam ko bhi kal pe Utha rakha hai,

    Ruth jate ho tu Kch or haseen lagte ho,
    Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hay,

    tum jisse rota hue chor gaye the ek din,
    hum ne is shaam ko seeney se laga rakha hay,

    chain layne nahin deta yeh kisi tor mujhe,
    teri yadon ne jo toofan utha rakha hay,

    jane wale ne kaha tha ke wo lotay ga zarur ik issi aas pe
    Darwaza Khula rakha hai ,

    terey jane se jo ik dhool uthi thi ghum ki,
    Hum ne is dhool ko ankhoun me bassa rakha hai,

    mujh ko kal shaam se woh yaad buhat ane laga,
    Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai,

    akhri bar jo aya tha mere naam wasi,
    main ne us khat ko kalaije se lagha rakha hai……

Sunday 9 June 2013

Wiraan Sa Ujjrra Sa Tanha Koi Shakhs

Wiraan Sa Ujjrra Sa Tanha Koi Shakhs

Kal Raat Akaile Mein Shayad
Kuch Warq Jala Raha Tha..

Uthte Huwe Shoulon Mein
Khud Bhi Ik Shola Nazar Aa Raha Tha..
 Jhatak Raha Tha Sar Woh
Aansu Baha Raha Tha..

Aise Mein Kisi Ne Guzarte Huwe Pucha...
Pagal !
Kitaab Jala Rahe Ho..?


Tarap Kar Bola
"Nahi........Khawab.."

Saturday 8 June 2013

Mujhay wo yun satati hai

Main jab us se kehta hon,
Mujhay tum se mohabbat hai

Nafi main sar hilati hai
Nigahon ko jhukati hai

Hatheli samne rakh kar
Kisi ka naam likhti hai

Muthi bund karti hai
Aankhon se lagati hai

Phir us ko choom leti hai
Achanak bol uth'ti hai

Mujhay is se muhabbat hai
Yehi to mera sab kuch hai

Ye sab kuch samne pa k
Main bohat bezaar hota hon

Mujhay bezaar paati hai
To khud bhi reh nahi paati
Muthi khol deti hai,


Jo muthi khol deti hai
Mera hi naam hota hai
Mujhay wo yun satati hai..

Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main bhi nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main bhi nahi hoon

Suna hay wo chup chup ke roti hai
Usse kehna hansta main bhi nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
Apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuqsan hua

Mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
Pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

Yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main
lekin mere samne aa kar aur hi kuch anjam hua

Choori toot gai

Kitni Saada
Kitni Pyari

Kaanch Ki Choori Jesi Larki

College k kamrey mein bethi
Janey kya kuch soch rahi thi

Main bhi uss k pas he betha
Us ko ghour se dekh raha tha

Kiya Qissa hai?
Main ne pocha..

Uss ki ankhein bheeg gaein
Dheemi si awaaz mein boli

Dekho !!

“Choori toot gai”…

Urooj Per Hai Tumhara Mausam

Urooj Per Hai Tumhara Mausam,
Khizaan Mein Tumko Khareed Leinge

Banoge Humse Rehm Ke Taalib
Naa Tumko Mohlat Mazeed deinge

Adaa ke qissay hue puranay
Jafa ke mausam Khatam hi Samjho

Karein ge tumse hisaab jaana
Na tumko mohlat mazeed deinge

Wafa ki laalach mein hum ne jaana
Khoon apna jala dia hai

Faraib-o-masti k badlay tumko
Saza bhi sun lo shadeed dein ge

Urooj per hai tumhara mausam
khizan mein tumko khareed lein ge

Mujasma Beraf Ka Tha Wo

December K Hasee'n Din Thy
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main
Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha
Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni
Bari Khoobsoorat Hai

Mujhey Ab Yaad Aata Hai !

Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ussay Akhir Pighalna Tha
Ussay Tou Mitt He Jaana Tha !

Wo kehta hai..!

Wo kehta hai..! Usey phoolon ki chahat hai
Magr
Jab phool khiltey hain wo unko Torr deta hai

Wo kehta hai..!
Usey barish ka mousam acha lagta hai
Magr
jb barish hoti hai wo kamrey mein afsurda ho kr beth jata hai

Wo Kehta hai..!
Hawaein ishq hain uska
Hawa lekin chaley jab to wo khirki Band rakhta hai

Mujhey Ab Dar Sa Lagta Hai
Wo jab Bhi Mujh se kehta hai

 “Mujhe Tumse Mohabbat Hai” !!

MOHABBAT PHIR MOHABBAT HAI

Agar yeh teri khwahish hai
To phir mein bhool jaati hoon
Mohabbat ki woh sub batain
Chalo mein maan leti hoon
Ke
Hum ek doosre ke kuchh naheen lagte
Kaheen par saamna gar ho
To mein zabt-e-musalsal se
Teri janib na dekhoongi
Mein apne muzehmil sapne
Adhure khwab chahat ke
Kaheen par chhor aaoongi
Tumhein bhi yeh ijazat hai
Ke
Jo bhi man mein aaye
Jaisa chaho
Waisa kar lena
Kaheen tum bhi chale jaana
Magar yeh dhyaan mein rakhna
Kaheen par bhi rahein hum tum
“MOHABBAT PHIR MOHABBAT HAI”

BATAO KESA LAGTA HAI

BATAO KESA LAGTA HAI

Kisi Ko Pa K Kho Dena

Ksi k Sath to Chalna
Magar Uska Na ho Pana

Khudi ko Kostay Rehna
Magar Usko Na Kuch Kehna

Khudi Girna Sambhalna
Hansna, Aur Ro Dena

BATAO KESA LAGTA HAI

Khizaan ki Sakht Sardi May

Hijar ki Lambi Raton May
Kisi ki Yaad May Rona

Kisi ko Sochtey Sochtey
Apni Ankhen Band Karna

Or Andheron May Chalay Jana

BATAO KESA LAGTA HAI

Naye Rishton May Rang Jana
Magar Kisi ko Bhool Na Pana

BATAO KESA LAGTA HAI….!

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagii Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-O-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha

guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha

ankhon main jagta hai koi rat ki tarha

os se umeed thi k nabhaye ga sath

magar wo b badal gya mery halaat ki tarha

US K HATH KITNY SARD THY

BICHARTY WAQT US NE
MERA HATH CHORA TOO
WO MUSKURA KAR KEHNY LAGA
TUMARY HATH KITNY GARAM HAIN
OR GARAM HATH WAFA KI PEHCHAN HOTY HAIN
YE BAAT SUN KAR MAI ITNA KHUS HUI K
MAI HAR BAAT BHOOL GI..
AUR…!!!!
AJ MUJHE YAAD ARAHA HAI
K US K HATH KITNY SARD THY

MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI

KAASH WO MUJHKO SAMJH LE
AIK LAMHY K LIYE
KASH! WO MERE HAR AHSAAS KO
NIDAAMAT BANNY SE PEHLE
MERI KHUSHII KO ANSUO MAI
DHALNE SE PEHLY
MERE JAZBAAT KO GIRAAH BANNY SE PEHLY


WO AIK BAAR MUJHSE KEH DE
 
HAN

“MUJHE TUM SE MOHABBAT HAI”

BOHAT DUKH HOTA HAI

JAB KISI KO HAD SE ZIADA CHAHA JAYEE

US K LIYE APNA SAB KUCH GAWAYA JAYE

OR JIS K PYAAR MAI HAD SE GUZAR JAYA JAAYE

JIS  K KHATIR APNA SAB KUCH LOOTAYA JAYE

PNA JEENA OR MARNA JIS KY SATH NIBHAYA JAYE

AUR APNI ZINDAGII JISKO BANNAYA JAAYE

WO HE INSAAN AIK HE PAL MAI SARY RISHTY

AUR SAARY TALUQ KHATAM KAR DE:(

“TO BOHAT DUKH HOTA HAI”

Sun raha hai na tu

Mujhko iraade de
Kasmein de, vaade de
Meri duaaon ke isharon ko sahare de
Dil ko thikaane de
Naye bahaane de
Khwabon ki barishon ko
Mausam ke paimaane de

Apne karam ki kar adayein..
Kar de idhar bhi tu nigaahein

Sunn raha hai na tu
Ro rahi hoon, main
Sun raha hai na tu
Kyun ro rahi hoon main

jub tum rooth jati ho

jub tum rooth jati ho
to acha kuch nahi lagta
suno jana
main tum se door hoon
kaise manaoon tum ko
yeh hath bhi joor rakhe hain
ankhain bhi num hain ab meri
per dikhla nahi sakta
sharminda jana kitna hoon
main ab batla nahi sakta
paon bhi per jaon jana
magar main aa nahi sakta
tum ab yakin ker lo mera
or mujh per thora sa tars khao
or khud hi maan jao
tum khud hi maan jao
k tum roothi jo rehti ho
to acha kuch nahi lagta

Thursday 6 June 2013

Wo Acha Hai To Acha Hai' Bura Hai To, Bhi Acha Hai.

Wo Acha Hai To Acha Hai' Bura Hai To, Bhi Acha Hai.

Mizaaj_E_Ishq Mein Aieb_E_Yaar Dekhe Nahi Jate..

Uljhi Rahi Muhabbat

Na Ayaan Hui Hum Say

Na Bayaan Hui Unn Say

Bss Suljhi Hui Aankhon main

Uljhi Rahi Muhabbat

Mujhey Yaqeen k Tum Munfarid Ho Auron Se

Mujhey Yaqeen k Tum Munfarid Ho Auron Se,

Tumhein Gumaan k Shayed Main Auron Jesa Hoon....!!

Teri YaadOn Kii KiRChiyaan

bOhet DinOn Baad
Teray KhatOn Key Udaas LafzOn Ney
Teri Chahat Key ZaaiqOn Kii Tamam KhUsbOo
Meri RagOn Mein Undail Di hAi
bOhet DinOn Baad
Teri Baatien
Teri mUlaqaatii Dhanak Sey Dehaktii Raatien
Ujaar AankhOn Ki Pyar Patalion Kii TehOn Mein
Visaal WaadOn Kii Chund ChingaariOn Ko SaanSoun Ki Aanch Dey Kar
Shareer ShOolOun Ki sErkashii Key Tamam Taiwar
Sikha Gaii hAin
Teray Mehaktey Maheen LafzOn Kii AaBShaarien
bOhet DinOn Baad Phir Sey mUjh Ko
Rulla Gaii hAin
bOhet DinOn Baad Main Ney SOcha tO Yaad Aaya
K Meray Ander Kii Raakh Key DhAir Par Abhi Tak
Teray Zamaney Likhey hOye hAin
Sabhi FaSaaney Likhey hOye hAin
bOhet DinOn Baad Mein Ney SOcha tO Yaad Aaya
K Teri YaadOn Kii KiRChiyaan
mUjh Sey Khho Gaii hAin
Teray Badan Ki Tamam KhUSbOo
Bikhar Gaii hAi
Teray Zamaney Ki Chahatien
Sab NiShaaniyan
Sab Sharaaratien
Sab Hikaayatien
Sab Shikaayatien
jO Kabhi hUner Mein Khyaal Thien
Khwaab hO ChUkii hAin
bOhet DinOn Baad Main Ney SOcha tO Yaad Aaya
K Main Bhi Kitna Badal Gya hOn
BiChar Key tUjh Sey
Kaii LakeerOn Mein Dhal Gya hOn
Na DhOond Meri Wafa Key NaQsh e Qadam Key Raizey
K Main tO Teri Talash Key Bey Kanaar Sehra Mein
Weham Key Bey Amaan BhagOlon Key Sath Reh Kar
Udaas Reh Kar
Na jAaney Kis Raah Mein Khho Gya hOn
BiChar Key tUjh Sey main Kya BataaOn
Na Jaany Kis Kis Ka hO Gya hOn
bOhet DinOn Baad Mein Ney SOcha
tO Yaad Aaya
!!!!!!!

Tuesday 4 June 2013

Mujhay Yaad Hai ……

Mujhay Yaad Hai ……
Pichlay Saal Inhi Dinoon Main
Main Ne Tumhain Apnay Ander
Saatveen (7veen) Baar Qatl Ker Ke Waheen Kaheen
Kisi Veeranay Main Dafan Ker Dia Tha
Or Tumhari Qabr….
Faramoshi Ke Bhaari Pathron Say Bher Dee The..
Or Is Say Bhe Pehlay Aik Baar
Door Daraz Say Aanay Walay
Kisi DIYO Haikal Parindoon Ke Paron Say….
Or Is Say Bhi Pehlay Aik Baar
Bilkol Inhi Dinoon
Main Nay Tumhain Mukamal Taur Per Jala Ker
Tumhari Raakh Taiz Behtay Howay Dariya Main Bahaa De The
Lakin Is Saari Jaan Kuni Ke Bawajood
Tum Aaj Phir Hamysha Ki Tarah
Meri Aankhoon Main Aankhain Daalay
Mere Dil Ko Apni Mutthi Main Jakray
Mere Samnay Kharrey Ho ….!!!!

Mera wajood tere Ain , Sheen , Qaaf mein hai

 
Tera wajood rawaajon Kay Aitkaaf mein hai 
Mera wajood tere Ain , Sheen , Qaaf mein hai

Sunday 2 June 2013

Baat thi mohabat ki

Baat thi mohabat ki,
Umar bhar ki chahat ki,
Bheer mein zamanay ki
Sath sath chalna tha,

Imtehan bhi anay thay,
Zindagi ke sab hi pal
Sath hi bitanay they.

Janay tum ne kia socha?
Sirf aik pal mein he,
Baat khatam kar dali.
Zindagi jo poori thi,
Wo adhori kar dali.

kon tumko samjhaye?
Chahton Ke Mausam bhi,
Roz to nahi aatay!

Zindagi mein apnon ko
Chor to nahi jatay !!

Wo larka

Wo larka
Jis k chehre per
Har waqt udaasi rehti thi

Jis k hont kabhi
Ikhlaqan bhe hanste tou
Yun lagta tha ke agar
Aik lamha bhi !
Aur hansay To..
Uski aankhein Rou deingee

Sab se alag
Apni he dunya mein
Gum rehta tha

Wo khamosh,
Udaas sa larka jab bhi,
Uss larki se milta
Tou uss lamhay usko
Itni khushi hoti
ke wo saari udaasiyan, Saare ghum
Bhool Jata..

Ander he ander apne dil mein
Hans deta..
Uske honton k humrah
Uski aankhein bhi hansti thi

Lekin Jab wo uss se juda hone lagi
To wo Pehle se
Aur bhi zyada
Tanha,
Gum sum
Aur, udaas ho gaya...

Bahut Tanha Hoon

Bahut Tanha Hoon,

Zindagi Ki Shaarah Per,
Bas Ek Saibaan Chahiye
Thehrne Ke Liye,
Main Apne Andar Tanha..
Bahut Tanha Hoon
Ek Dost Chaiye Sath Ke Liye.

Zindagi Kahin Kahin,
Bahut Khoobsurat Nazar Aati Hai,
Bas Kuch Dair
Achhe Logon ke Sath Hansna Chahta Hoon

Gar Ho Gaye Kahin
Achhe Dost Naraz
To Ye Zindagi
Dasht Se Zyada Nahi
Aye Dost !
Tumhari Tarah Tanha Rehte Rehte
Main Bahut Thak Chuka Hoon,
Kuch Der Main Bhi
Hansna Chahta Hoon...
Bahut Hansna Chahta Hoon..
Dil Ki Gehraiyon Se...