affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Birthday
Showing posts with label Birthday. Show all posts
Showing posts with label Birthday. Show all posts

Thursday, 21 March 2013

Aj tumhari salgirah hai

"Motiya, bela, phool, kaliyan,
dekho yaroo shad hain na,
Aj tumhari salgirah hai,
dekhoo ham ko yaad hai na!"

Jallti Shammaein, Roshann Chehray
Kaasni Larriyaan, Nazukk Sehray
Nargiss, Bailaa, Motiyaa, Lalaa
Joohi, Chammpaa aur Banafshaa
Harr koi Yaaro shaad hai naa
Aaj Tummhaari SAALGIRAA hai
Dekho Hamm ko Yaad hai naa

Hamm to sirf Duaa Go Loagg
Khaak-O-Meharr ka kya Sannjoag
Paas rahain ya door rahain
Wehshatt say Ranjjoor rahain
Mehfill to aabaad hai naa
Aaj Tumhaari SAALGIRAA hai
Dekho Hamm ko Yaad hai naa
 

Friday, 8 March 2013

Tere janam din per

 Main ne chaaha

Tere janam din per

Aisa tuhfaa teri nazar karoon

Jisay too umr bhar yaad rakhay

Phir aik lamhay ki soach nay

Mere haath buland kiay

Kuch lafzoan ke phool

Duaaon ke panchee

Dil ki gehraaiyon say aazad kiay

Ke aanay waalay mausamoan main

Ghum ki ghataain

Kabhi teray qareeb na aain

Teri aankhon ke jugnoo sadaa chamkain

Khuda tera daaman hamesha musarraton say humkinaar
 karay

Kabhi jo too

Zindagi ki karri dhoop main

Palat ke daikhay

To bohat si khush-rung y
aadain

Gulaab lehjoan ki dilfaraib batain

Beetay lamhoan ki chaandni

Tere weeraan dil ko bahar kare

Too her guzray lamhay say pyaar karay

Aur khuda-e-lum yazl

Teri umr daraaz karay:)

Tuesday, 26 February 2013

Jayein Janu Hum Ap Say Naraaz Hain

Ek Din Guzra

Do Din Beetay
 
Aur Phir Sara Hafta .!!

MujhKo UsKa Phone Na Aya
 
Ek Gehri Tashwesh Ki Lehrain MeraY Mann Sagar PaY Ubrihin
 
MainaY Socha !
 
Pehlay To Woh Din Bhar MujhKo Phone Pay Phone Karti Thi
 
Akhir Aesi Kya Baat Howi ?

Kya Woh MujhKo Bhool Gayi He ?
 
Nahi ... . Nahi
 
Yeh Na Mumkin He !!
 
Phone To Main Bhi Kar Sakta Tha
 
Lekin Mujh Par Pabandi Thi

Q Ke Phone Pay UsKi Marzi Chalti Thi
 
Sirf UsKi Marzi
 
Aur Phir

Poray Haftay Baad Jab UsKa Phone Aya
 
Rundhi Hoi Awaaz Main Boli
 
"JaYain ... HuNh
 
Hum Aap Se Baat Nahi Karte

Aap Wafa SeY Na Waqif Hain
 
Aap Kay Pas To Lafz Hi Lafz Hain
 
Lafz Jin Ki Rooh Nahi He

Ap Khandar Hain ,
 
Weerana Hain

Aap Ko Parwa Nahi Kisi Kay Jazboon Ki "

Main Heeran Tha !!

Akhir MuhjSay Aesi Kya Galti Hoi He .??
 
Woh Gham Ki Tasweer Bani He

Apnay Jurm Ki Noyiat Jab Pochi To
 
Woh Phoot Kar RoYi

Aur Phir Rotay Rotay UsNEy
 
MujhKo Mera Jurm Bataya
 
Tarap Kar Boli

" Hafta PehlEy

Jis Din Meri Salgirah Thi
 
Mainay Ap Ko Phone Kya Tha

Aap Se Us Din Har Mozooh Par Baat Hoi Thi

Lekin Aap Ko Yaad Nahi Tha

Ek Zara Sa " Wish" Karna Bhi Yaad Nahi Tha !!

Yeh Sun Kar Bey-Sakta Mainay

Apnay Sir Ko Patka

Khud Ko Kosa
 
Pichlay Saal Bhi Yehi Howa Tha

( Yani Pechlay Saal Bhi UsKi Salgirah Main Bhool Gaya Tha )

" Duhray Qatal " Ka Mujrim Tha Main

Kehtay Hain Keh .!!

Pas-E-Manzar Kay Aksar Manzar Jeevan Ka Hisa Hotay Hain

Mujh Par Bachpan Tu Utra Tha

Lekin Salgirah Ki Khushyan ??
 
Main In Say Waqif Hi Kab Tha ??

Aisay Mubarak Lamhay Meray Bacpan Main Agar AaYe Hotay

"Wish" Karnay Ki Aadat Mujh Main Rasik Hoti

Bachpan Sagar Ki Yeh Lehrain Mujh Main Thatain Maarti Rehti'n

Taa-hum Mainay idhar Udhar Ki Batin Kar Kay

Usay Manaya

Aur Is Say Yeh Ehad Liya Keh

Is Ki Salgirah Kay Din Ko Aglay Saal Nahi Bholon Ga

Kabhi Na Ab Yeh Jurm KaronGa . . .