affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Fakhira Batool
Showing posts with label Fakhira Batool. Show all posts
Showing posts with label Fakhira Batool. Show all posts

Tuesday, 10 May 2016

Zakhm kya kya na zindagi se mile,

 

Zakhm kya kya na zindagi se mile,

Khwaab palkon se berukhi se mile.


Aap ko mil gaye hain qismat se,

Hum zamaane mein kab kisi ko mile ?


Aise khushbu se mil raha hai gulaab,

Jis tarah raat, roshani se mile.


Hum faqeeron se dosti hai magar,

Uss se kehna ki saadagi se mile.


Dil mein rakhte hain ehtiyaat se hum,

Zakhm jo jo bhi jis kisi se mile.


Zindagi se gale mile toh laga,

Ajnabi jaise ajnabi se mile.


Uss ke seene mein dil nahin tha ‘Batool

Hum ne socha tha aadmi se mile. !!

 

Fakhira Batool


Saturday, 23 April 2016

وہ زود رنج منانے بھی تو نہیں دیتا

وہ زود رنج منانے بھی تو نہیں دیتا
جو دل پہ گزری، بتانے بھی تو نہیں دیتا

گو اس نے خار بچھائے نہیں ہیں رستے میں
مگر وہ اُن کو ہٹانے بھی تو نہیں دیتا

یہ زخم اُس نے لگائے نہیں مگر سوچو
وہ ان کے داغ مٹانے بھی تو نہیں دیتا

دھیان اُس کا ہٹے بھی تو کس طرح سے ہٹے
وہ اپنی یاد بُھلانے بھی تو نہیں دیتا

پیام آئے کبھی اُس کا یہ نہیں ممکن
دل اُس کے شہر کو جانے بھی تو نہیں دیتا

وہ تیرگی کا مخالف بنا تو ہے لیکن
چراغ گھر میں جلانے بھی تو نہیں دیتا

اُسی کی ذات کا ہر پل طواف کرتے ہیں
دل ہم کو اور ٹھکانے بھی تو نہیں دیتا

جو ہم پہ شرک کے فتوے لگا رہا ہے بتول!
وہ در سے سر کو اٹھانے بھی تو نہیں دیتا

فاخرہ بتول

Monday, 28 March 2016

وہ جگنو ہے ستارا کیوں کریں ہم

وہ جگنو ہے ستارا کیوں کریں ہم
نہیں ہے وہ ہمارا، کیوں کریں ہم

کسی کے ساتھ گھل مِل سے گئے ہو
بھلا اِس کو گوارا کیوں کریں ہم

جن آنکھوں میں سمندر ڈُوبتا ہے
اُن آنکھوں سے کنارہ کیوں کریں ہم

بہت سے کام ہیں کرنے کے صاحب
محبت پر گزارہ کیوں کریں ہم

جہاں سارا وفا نا آشنا ہے
فقط شکوہ تمہارا کیوں کریں ہم

اَنا نے باندھ رکھا ہے ہمیں بھی
تمہیں ہر پَل پکارا کیوں کریں ہم

بچھڑنے کی تمنّا ہے تو جاؤ
بچھڑنے کا اشارہ کیوں کریں ہم

مقابل آئینہ ہے، تم نہیں ہو
تو پھر لَٹ کو سنوارا کیوں کریں ہم

محبت ہو گئی، بس کہہ دیا ناں
خطا اب یہ دوبارہ کیوں کریں ہم

یہ دل کچھ رکھ لیا ہے پاس،تم پہ
فدا سارے کا سارا کیوں کریں ہم

فاخرہ بتولؔ

Tuesday, 25 February 2014

kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga

kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga
Kaha nahin tha
kaha nahin tha bichar ke jeena mohaal ho ga
Yeh zindgi tum pe bar ho gi
Khizan mein lipti bahar ho gi
Tum haft-e-afalak mein talasho gy mera chehra
Miri wafaen saza lagen gi
Fizaen har pal khafa lagen gi
Kaha nahin tha
Zamana dharkan ki taal sur ka
Azal se beri hai yad rakhna
Wisal lamhon ke silsalon se
Lahoo ka barh kar kharaj mangy
Firaq ka bas yeh raaj mangy
Yeh do dilon ko kabhi jo ik sath dekhta hai
Hawa pe sazish ka jall rakh kar pukarat hai
Suno parindo mohabbaton ka milan kabhi bhi nah ho saky ga
Aor is zameen mein koi bhi chahat ka beej hargiz nah bo saky ga
kaha nahin tha
Magar jo main ne kaha tha tum ne suna hi kab tha
Suna jo main ne woh tum ne janan kaha hi kab tha

Monday, 10 February 2014

Yehi Faisla Hai Janaan یہی فیصلہ جاناں

Yehi Faisla Hai Janaan یہی فیصلہ جاناں

!یہی فیصلہ جاناں
اور اب کی بار ہر رستے کے چہرے سے
تمہارے پاؤں کی تحریر تک کو ہم مٹائیں گے
پلٹنے کے بہانے چھین کر تم سے
تمھیں بھی ہم رلائیں گے ، ستائیں گے،جلائیں گے
تمھیں بھی آزمائیں گے
ہم اب کی بار بچھڑے تو
کبھی بھی نہ مل پائیں گے
!یہی ہے فیصلہ جاناں

Friday, 26 July 2013

Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Ar Tum Dawa Jaise

 Kaha Us Ne Zamana Dard Hai Ar Tum Dawa Jaise,

Laga Tum Se Mohabbat Hai Mujhe Us Ne Kaha Jaise,

Talab Ki Us Ne Jab Mujh Se Mohabbat Ki Wazahat To,

Bataya Dasht K Honton Pe Barish Ki Dua Jaise,

Kaho A Gul Kabhi Khushbo Ka Tum Ne Aks Dekha Hai,

Kaha Qos-E-Qaza K Sare Rangon Ki Sada Jaise,

Suno Khawahish Ki Lehron Par,

Sambhalna Kion Howa Mushkil,

Btaya Panion Par Khawab Ki Rakhi Bana Jaise,

Suno Aankhon Hi Aankhon Ka Bayaan Kaisa Laga Tum Ko,

Laga Phoolon Se Sargoshi Si Karti Hai Saba Jaise....................!

Friday, 3 May 2013

Haar Gaye

[ Haar Gaye ]


UsS NeY P0cha!
Rabt-E-Baham Ki Koi So0rat

MaiNe Kaha

Tum Phone Bhi Kar SakteY Ho Mujh Ko


LikhNa Chaho T0 Khat'T Likh L0


Waqt Gar Mill JaeY T0 Mil Lena Aa KaR

Bola Chutti Lena Bhi HeY


JeseY Joay-Sheeer Ko LanaY Jesa


Lakhon Aur Bakheray Har Pal
Jaan SeY LipteY

Soch Raha H0on

Pindi Ma¡N He Aan Baso0N Ma¡N

You'N Har R0oZ MilunGa TumseY


Lekin ''Nokri'' Ik Masla HeY


Da¡Kha TumneY
! ! !

Jeet GaeY AkhiR JiWan KeY GoRakh DhandheY


Aur Hum Dono0'N Haar GaeY HA¡N . . . /

(Fakhira Bat0oL)

Lahoo Lahoo Hy Gulabon Ki Dastan DeKho

Lahoo Lahoo Hy Gulabon Ki Dastan DeKho,

Huey Hen Qatal Bahar0n Main GuliStan DeKho,
-
S0o-e-Falak To Sada DeKhte Hee Rehte Ho,
-
Kabi To Palk0n Pe BiKhri Ye KehaKshan DeKho,
-
Kisi Ne Dil Lagi, Dil Ki Lagi Kisi Ne Kaha,
-
Kisi K Jazß0n Ka Ho B Gya ZeYa DeKho,
-
ShaJar ShaJar Ko Kahani Tumhari Batla Di,
-
Saßa Ko Samjha Tha Tum Ne Hee Razdan DeKho,
-
Hamari Aankh0n Ki BarSat DeKhte Kya Ho,
-
Utar Gai Hen Lahoo Main Jo BiJliYan DeKho,

Nishan Unhi K Hen Baqi Kitab-e-Hasti Main,
-
ZaMana Karta Raha Jin Ko Be NiShan DeKho,
-
Faseel-e-Jism He Chhalni To Sar Salamat He,
-
AjEEb Ro0h Main Chalti Hen AandhiYan DeKho,
-
Batool Jis K LiYe Zindagi Luta Di He,
-
Wo ShaKhas Aaj B Hum Se He Bad-Guman Dekho

Saturday, 6 April 2013

Khailtey Khailtey Donon Mein Se



Khailtey Khailtey Donon Mein Se
Ekk Ne Doojay Ki Guriya Ki Noch Lee Aankhein
Larki Cheekhi,
Daikho, Tum Ne Meri Guriya Andhi Karr Di
Ab Sapney Kaise Daikhey Gee?


Larka Nadamm Ho Krr Bola.....
Mein Jab Abu Jitna Ho Kar Shaher Giya To
Ye Wa'da Karta Hoon Tum Se
Sab Se Pehley
Iss Ki Aankhein Laon Gaa
Sunna Hai Shaher Giya Wo Ekk Din

Janey Iss K Baad Kiya Hua
Ye Maloom Nahin Lekin
Aaj Achanak Uss Larki Ko Rah Mein Daikha
Haath Mein Uskey Ekk Guriya Thee
Haan Batlana Bhool Gai Mein..!!!!
Guriya Aaj Bhi Andhi Hai

Shaam Jaisi Shaira


Woh Salooni, Surmayi Si Shaam Jaisi Shaira
Jiss Ki Aankhon Mein Sadda Jugnu Larztay
Muskurate Gungunatey Se Jaggay
Wo Sahaili Thee Ghazal Ki, Shairi Jaisi Laggay

Jiss K Lafzon Mein Thee Matti Ki Mahek,
Phoolon Ka Rang
Kuch Adhooray Khawab,
Palkon Ki Mandairon Pr Jalla Kar So Gai
Goiya, Wo Andhair Nagari Ki Kiran Thi, Kho Gaiye
Janya Kion Uss Nay Bahot Hi Door
Ekk Tanha Jazeerey Ko Chunna
Wo Jazeera,
Jis Ki Janib Jo Giya Uss Ka Hua
Woh Salooni, Surmayi Si Shaam Jaisi Shaira