affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Jamshaid Azam
Showing posts with label Jamshaid Azam. Show all posts
Showing posts with label Jamshaid Azam. Show all posts

Wednesday, 5 March 2014

Khayal mein Hai koi Aur Roobaroo Koi Aur خیا ل میں ہے کوی اور،روبرو کوی اور

خیا ل میں ہے کوی اور،روبرو کوی اور
مگر ہے با عث تکمیل آرزو کوی اور

 کھلیں گے آج عجب راز کھڑکیوں کی طرح
ہوا کا آج ہے موضوع گفتگو کوئ اور 

کسی کو ڈھا ل بنا نا مجھے پسند نہیں
مرے لیۓ ہو بھلا کیوں لہو لہو کوئ اور

مرا گما ں بھی ہے محکم، یقیں بھی مستحکم
مری تلاش میں ہے مجھ سا ہوبہو کوئ اور 

نہیں، یہ ذ کر مرے ساۓ کا نہیں جمشید
رہا ہے آج مرے سا تھ کوبکو کوئ اور

Tuesday, 4 March 2014

Le Urrein Sath Hawaein Mujhe Aisa to Nahi لے اڑیں سا تھ ہوایں مجھے،ایسا تو نہیں

لے اڑیں سا تھ ہوایں مجھے،ایسا تو نہیں
میں کہ پتا تو نہیں، خا ک کف پا تو نہیں 
  سر جھکا تا ہوں تو یہ عجز ہے میرا، ورنہ 
آسما ں میرے خیا لات سے اونچا تو نہیں 
    اس نے چوما ہو کسی اور کے دھوکے میں مجھے
  میرے جزبوں کی یہ شدت کہیں بے جا تو نہیں 
  ہا تھ سے پوچھیے، آنکھوں کا بھروسہ کیا ہے
 بہتے دریا کو بھی کھ دیں کہ یہ دریا تو نہیں 
 کون جمشید مجھے سا تھ لیۓ پھرتا ہے؟
میرا پیکر بھی کسی جسم کا سا یہ تو نہیں

Monday, 24 February 2014

Kuch aisa zor tha Khud Aagehi ke pani mein کچھ ایسا زور تھاخودآگہی کے پانی میں

کچھ ایسا زور تھاخودآگہی کے پانی میں
 میں خودسے دورنکلتا گیا روانی میں
 میں جس کی راہ سجاتا رھا ستاروں سے
 وہ آسماں ھی مجھے دے گیا نشانی میں
 اب اس کے جسم پہ چھاوں کی ایک دھجی ہےــــــــــ
 جو دھوپ اوڑھ کے پھرتا رھا جوانی میںــــــ 
میں سوچتا ھوں،وہ بے ساختہ ہنسا کیوں تھا؟
 جب ایسی بات ھی کوٰٰٰ ٰٰی نہ تھی کہانی میںــــــــ 
میں اپنے آپ سے ناراض ھوں مگر جمشید 
نھیں،کہ عمر ھی کٹ جاے سرگرانی میں

Mein Dekh Na Paya Teri Yadon Ke Kinarey میں دیکھ نہ پا یا تری یا دوں کے کنا رے

----میں دیکھ نہ پا یا تری یا دوں کے کنا رے
 --- جلتے رہے تا رے مری پلکوں کے کنا رے 
      سر شا ر تھا تن بھیگے ہوے پیڑ کے ما نند
 --- ہونتوں کی طرح خشک تھے پتوں کے کنا رے
    بیتھا رہا دن بھر میں پہن کر ترا سا یا
 --- بہتی رہی اک دھوپ بھی چھا ؤں کے کنا رے   
           ---    اک  موج تبسم بھی مچلتی رہی، لیکن
 ------- جلتی رہی اک با ت بھی ہونٹوں کے کنا رے 
تعبیر کی دلدل میں مجھے لے گیا کوئ
 ------- بیتھا رہا کوئ مرے خوابوں کے کنا رے
 --------------- جمشید وہ مہکا تو گیا ہے مرا آنگن
 -------- نم کر تو گیا ہے مری آنکھوں کے کنا رے 

Saturday, 22 February 2014

Baadal Ke Naam Dasht Ka Pegham Kia Hua

Baadal Ke Naam Dasht Ka Pegham Kia Hua...?
Kuch To Kaho Ke Piyaas Ka Anjaam Kia Hua...?

iK Chaap Mere Saath Rahi Taa Had e Safar...
Wo Shakhs Hamsafar Mera Do Gaam Kia Hua...

Tu Ne To Shehr e Hijr Mein Dairey Laga Liye...
iK Tajruba Wisaal Ka Nakaam Kia Hua...

Jamshaid Doobtey Huey Sooraj Ko iLm Hai...
Taaron Ko Kia Khabar Ke Sar e Shaam Kia Hua.. 

Aaina Us Ne Kai Bar Dikhaya Mujh Ko by Jamshaid Chishti

Aaina Us Ne Kai Bar Dikhaya Mujh Ko...
Apne Hone Ka Yaqeen Phir Bhi Na Aaya Mujh Ko...

Gungunata Hoon To Sannate Humak Uthty Hain...
Wohi Naghma Jo Khamoshi Ne Sunaya Mujh Ko...

Dhoop Ke Saath Mera Roop To Dhal Jaey Ga...
Apni Soorat Pe Kahan Uss Ne Banaya Mujh Ko...

Ishq Ke Ghaat To ik Shakhs Hi Utra, Lekin...
Ye Nahi Hai Ke Bas iK Chehra Hi Bhaaya Mujh Ko...

Mein To Sooraj Ke Taaqub Mein Rahoon Ga Jamshaid...
Kiun Bhala Raah Dikhaey Mera Saaya Mujh Ko..

Wednesday, 19 February 2014

Ishq ki raah me mar jaane de

Ishq ki raah me mar jaane de
Kaam aasan hai,kar jaane de--

Ay hawa,apni nahi fikr mujhy
Inn parindon ko to ghar jaane de--

Abr e purnam,tujhe jaldi kia hai
Meri aankhen bhi to bhar jaane de--

Kese sunn paaun ga aawaz teri
dil ki dharkan to theher jaane de--

Haath matt rok hawa ka Jamshaid
Zulf chehre pe bikhar jaane de--

Ruka hua thaa jo lamha, guzar gaya chup chaap

Ruka hua thaa jo lamha, guzar gaya chup chaap
Mehek k saath hi ghuncha, bikhar gaya chup chaap

Nigal gaya hoon main jazbaat k talatum ko
Ajeeb shor sa mujh me utar gaya chup chaap

Qadam uthaya to dehleez kaanp uthi ghar ki
Ye barg e khushk yahaan kon dhar gaya chup chaap

Gharoob e mehr ka nazzaara kar raha thaa main
khabar nahi,mera saaya kidhar gaya chup chaap

Tamaam jazbe agar uss se munsalik hain mere
To mujh ko dekh k wo kiun guzar gaya chup chaap

Safeene waale mujhe dhoondte rahe Jamshaid
Bhanwar ko le k main teh me utar gaya chup chaap

Monday, 17 February 2014

Shikast Ka Nasha

Shikast Ka Nasha

Shikast Ka Nasha

Shikast Khai Hai Maine Magr
Yeh Bat Mery Liye Wajha e Sad Tasalli Hai
Ke Mein Kisi Ki Khushi Ka sabab To Thehra Hoon....

Mein Pursakoon Hoon Magr Is Tarha

Mein Pursakoon Hoon Magr Is Tarha

Sakoon O Iztarab

Mein Pursakoon Hoon Magr Is Tarha
Ke Iztarab-e-Musalsal He Ab Sakoon Hai Mera

Mein Muztarib Hoon To Is Waastey
Keh Meri Paara Sift Tabha Ke Samundar Mein
Sakoon Sa Aane Laga Hai

Khil Uthey Ga Phool Murhaya Hua

Khil Uthey Ga Phool Murhaya Hua

Nazar e Meer

Khil Uthey Ga Phool Murhaya Hua
Chand Ik Sooraj Hai Dhundlaya Hua

Sham Ke Pehlu Mein Koi Jal Bujha
Ashna Jab Saey Se Saya Hua

Khil Rahe They Phool Chehron Ki Tarha
Phool Sa Chehra Tha Murjhaya Hua

Mil Na Paya Aankh Ko Ik Ghoont Tak
Shehr Mein Sailaab Tha Aya Hua

Sunday, 16 February 2014

Dhoond laya hon kahani ke liye


Dhoond laya hon kahani ke liye
Log tarse hue pani ke liye

Muntazir hai kisi khat ka shayed
Mera darya bhi, rawani ke liye

Mera lehja to hai barish ki tarha
Mein kahan Shola bayani ke liye

Ayeney jesi tabehat ho agar
Aks kafi hai girani ke liye

Friday, 14 February 2014

Khird ke sath mila hai mujhe gham e dil bhi

Khird ke sath mila hai mujhe gham e dil bhi

Khird ke sath mila hai mujhe gham e dil bhi
Hai meri aankh me hairat ke sath jhilmil bhi

Misaal e Ghuncha, Khawahish khilaa gai, Lekin
Ajab hawa thi, Mujhe kar gai hai ghaayel bhi

Meri talash mein rastey he dar-ba-dar na rahe
Bhatak rahi thi meri justujoo mein manzil bhi

Na jane be-khabri hai ke jurm ka ehsaas
Ke ro raha hai mery gham mein, Mera Qatil bhi

Falak ko chu ke bhi Jamshaid mein zameen pe raha

Falak ko chu ke bhi Jamshaid mein zameen pe raha

Falak ko chu ke bhi Jamshaid mein zameen pe raha
Keh estaada mera weham , Ik yaqeen pe raha

Agarchey dasht mein phirta raha, Magr shab bhar
Samundaron sa talatum meri jabeen pe raha

Na dard e dil pe hai meri shaairey ka madaar
Na inhisaar kisi lemha e haseen pe raha

Na aitbar raha nabz aashnaon ka
Na aitmad kisi chasham e doorbeen pe raha

Thursday, 13 February 2014

Na zameen hon, na asmaan hon mein

Na zameen hon, na asmaan hon mein

Na zameen hon, na asmaan hon mein
Jhoot aur sach ke darmeyaan hon mein

Sham ka waqt aur mera saya
Ek mit`ta hua nishan hon mein

Mere batan ki zow hai sab ke liye
Yahni ik kanch ka makaan hon mein

Dasht mein hon sarab ke manind
Shehar mein rait ki dukan hon mein

Saamna saey ka sooraj se kabhi ho na saka

Saamna saey ka sooraj se kabhi ho na saka

Saamna saey ka sooraj se kabhi ho na saka

Zaaviye Kitne he Jamshaid badal kar dekhy