affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Na zameen hon, na asmaan hon mein

Thursday 13 February 2014

Na zameen hon, na asmaan hon mein

Na zameen hon, na asmaan hon mein

Na zameen hon, na asmaan hon mein
Jhoot aur sach ke darmeyaan hon mein

Sham ka waqt aur mera saya
Ek mit`ta hua nishan hon mein

Mere batan ki zow hai sab ke liye
Yahni ik kanch ka makaan hon mein

Dasht mein hon sarab ke manind
Shehar mein rait ki dukan hon mein

2 comments: