affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tum pagal ho tum pagal ho by M.M.Nadir

Friday 14 February 2014

Tum pagal ho tum pagal ho by M.M.Nadir

Tere Ishq Ney Mera Yeh Haal kiya
Mujhe Apna Tak Na Hosh Raha
Dekh K Meri Halat Ab K
Mujhe Jo Miley Ab Yeh Kahey
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho

Yeh Duniya Teri Kaisi Hai 
Sab Log Yahan Niraley Hain
Merey Tarapney Pe Yeh Hanstey Hain
Or Hans K Mujhse Kehtey Hain
Tujhey Kis Ki Yaad Rulati Hai 
Tum Ku Youn Taraptey Ho
Main Insey Jab Yeh Kehta Houn
Koi Or Nahin Yeh Dil Hai Apna
Jo Mujhko Youn Satata Hai
Mere Tann Mann Mein Aag Lagata Hai
De K Mujhko Ishq Ki Masti
Phir Din Raat Nachata Hai
Yeh Sun K Log Phir Hanstey Hain
Or Hans K Mujhko Kehtey Hain
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho

Har Roz K Apney Milney Pe
Ik Dost Ney Mujhsey Yeh Kaha
Siyaney Log Yeh Kehtey Hain
Qadar Kho Deta Hai Yeh Roz Ka Aana Jana
Jab Maine Us Sey Yeh Kaha
K
Mera Tahaluq To Kuch Aisa Hai Us Se
Jo Namazi Ka Hai Masjid Sey
Jo Pujari Ka Hai Mandir Sey
Jo Bachey Ka Hai Maktab Sey
Sun Kar Usney Baat Meri
Kandhey Pe Merey Hath Rakha
Or Thapki De Kar Yeh Kaha
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho

Aj Bethay Bethay Baton Mein
Jab Tum Ney Mujhse Yeh Kaha
Farz Karo Koi Aisi Hawa Chaley 
Farz Karo Main Tumko Na Pehchaan Saku
Farz Karo Tum Duniya Mein Ab Tanha Ho
Farz Karo Main Apna Tujhey Na Maan Saku
Phir Mujhko Janey Kya Hua
Jab Paimana Zabt Ka Chhalak Gaya
Aankhein Meri Baras Pareen
Sans Yeh Mera Ruk Gaya
Sar Bhi Mera Jhuk Gaya
Dekh K Mujhko Saktey Mein
Tum Zor Sey Jab Phir Hansey They
Maine Utha K Sarr Jab Dekha Tumko
Teri Aankhon Mein Shararat Thi
Dekh K Meri Pur-Nam Aankhein
Or Aankho Ko Ishara Kar Key
Tum Ney Hanstey Hanstey Yeh Kaha
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho

Suna K Nazm Jab Dekha Nadir 
Har Suu Mehfil Mein Sargoshi Thi
Maine Uth K Jab Poocha Sab Sey
Mery Sunney Walo Yeh Batao
Mery Jazbaat Ko Tum Ney Kaisa Paya
Yeh Sun K Sab Kharey Hue
Or Moun Morr K Mujhsey Chal Diye
Bass Jatey Jatey Yeh Kaha
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho
Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho

2 comments: