affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo kehta hai..!

Saturday 8 June 2013

Wo kehta hai..!

Wo kehta hai..! Usey phoolon ki chahat hai
Magr
Jab phool khiltey hain wo unko Torr deta hai

Wo kehta hai..!
Usey barish ka mousam acha lagta hai
Magr
jb barish hoti hai wo kamrey mein afsurda ho kr beth jata hai

Wo Kehta hai..!
Hawaein ishq hain uska
Hawa lekin chaley jab to wo khirki Band rakhta hai

Mujhey Ab Dar Sa Lagta Hai
Wo jab Bhi Mujh se kehta hai

 “Mujhe Tumse Mohabbat Hai” !!

No comments:

Post a Comment