affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Rog aise bhi gham e yaar se lag jate hen

Sunday 16 June 2013

Rog aise bhi gham e yaar se lag jate hen

Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jate hen
Dar se uthte hen to deewar se lag jate hen

Ishq aghaz men halki si khalish rakhta hy
Bad men senkron aazar se lag jate hen

Pehle pehle hwas ki ik aadh dukan kholti hy
Phir to bazar k bazar se lag jate hen

Bebsi bhi kabhi furqat ka sabab bunti hy
Ro na payen to galay yaar se lag jate hen

Dagh daman k hon dil k hon k chehre k FARAZ
Kuch nishan umar ki raftar se lag jate hain

5 comments: