affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Main rootha to wo mana kr chal diya

Thursday 13 June 2013

Main rootha to wo mana kr chal diya

Main rootha to wo mana kr chal diya,
Apne saray Ehsaan b jata kr chal diya,

Ye such hai k wo Ehd-shikn tha,
Magar kuch waday b nibha kr chal diya,

Usay moortiyan banane ka shoq tha bohat,
Wo mujhko b pathar ka bana kr chal diya,

Milna na milna NASEEB ki baat hai,
Wo jate jate ye baat b samjha kr chal diya,

Apna Lena mere baad kisi aur ko Tum,
Wo mujh se ye pabandi b hata 'kr chal Diya...

No comments:

Post a Comment