affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo larka

Sunday 2 June 2013

Wo larka

Wo larka
Jis k chehre per
Har waqt udaasi rehti thi

Jis k hont kabhi
Ikhlaqan bhe hanste tou
Yun lagta tha ke agar
Aik lamha bhi !
Aur hansay To..
Uski aankhein Rou deingee

Sab se alag
Apni he dunya mein
Gum rehta tha

Wo khamosh,
Udaas sa larka jab bhi,
Uss larki se milta
Tou uss lamhay usko
Itni khushi hoti
ke wo saari udaasiyan, Saare ghum
Bhool Jata..

Ander he ander apne dil mein
Hans deta..
Uske honton k humrah
Uski aankhein bhi hansti thi

Lekin Jab wo uss se juda hone lagi
To wo Pehle se
Aur bhi zyada
Tanha,
Gum sum
Aur, udaas ho gaya...

No comments:

Post a Comment