affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

Saturday 8 June 2013

Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
Usse kehna be-fikar main bhi nahi hoon

Suna hay wo gumsum rehti hai
Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
Usse kehna sota main bhi nahi hoon

Suna hay wo chup chup ke roti hai
Usse kehna hansta main bhi nahi hoon

Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
Usse kehna bhoola main b nahi hoon

Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

No comments:

Post a Comment