affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Friday 1 August 2014

Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay"

Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir

Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay

Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa

Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay



Kay Dhundalay Aaino Main Apna

Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay

Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki

Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay



Jab Sarak Per Chalna Hota Tha

Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay

Aur Beech Bawar Janay Ke Liye

Hum Pedal Nikla Kartey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay



Jab Pass Bohat Wo Hota Tha

Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay

Jab Dur Chala Jata Tha Wo

Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay



Jab Sari Duniya Soti Thi

Hum Chand Say Khaila Kartey Thay

Jab Sari Duniya Jaag Uthi

Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay

Hum Kitney Pagal Hotey Thay

Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain

Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain

No comments:

Post a Comment