affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Khogaya Jane kahan woh waqt by Umme Eman

Thursday 23 February 2017

Khogaya Jane kahan woh waqt by Umme Eman


Khogaya Jane kahan woh waqt
jis mein main teri tu mera tha
dil ma bus tera baseera tha
neendon ma tera sapna to
honton pa tery leay muskarahat thi  
lout ae woh pal jis main tera sath tha
mery haathon ma tera hath tha
khof sa hone laga kismat ma apni
keh raat ka yeh ek sapna hay kahin toot na jae
itni shidat se chae koi kesi ko
yeh bi kesy mumkin tha
phr bi dil ma ek khuwaish Rahi
chaht bhra jahan ho sapno se saja asman
tum mere sath ho or be-panha pyar ho
lekan yeh waqt bhi ana tha
tum ko mujh se door Jana tha
mera Jo pyar tha tery liya sirf pachtawa tha
tumhe kahin door Jana tha
mujhy tumare sath rehna tha
Teri manzil thi kuch or
meri manzil Teri chaht thi
phir woh din bhi aya
jb tum ne kuch youn kaha
mera rasta hay kuch or
meri manzil tu nahi
Jane do mujha yahan se
k sath hum ko ab rehna nahe
ja tujhy keya azad kehti hu alvida
ke ab lout k na ana mujha teri chaht pa eitbr nahi
yeh kesi us ki mohbt thi Jo char din ki chandni bni
na hal-e-dil samjh saka na meri be-panha Mohbt ko
kahae dekha suna shayd parha tha
keya khub kesi ne kaha hay umm-e-eman
ke mohbt ka woh daur bhi or tha
jb dil main arman us k sath ka tha
Ankhon ma usi ka sapna saajta tha
bin kahe sub samjh jana  
uski mohabat main khud ko fana karna
yeh to meri  esi mohbt thi
jis ma meri us k liya chaht thi
ab kiya shikwa kiya shikayt karu ksi se
chalo choro rehny do ab Jane bi do use
mera liya woh mera sub kuch tha
shayed us ke leay main hi uski na thi......

Written by Umm-e-eman


No comments:

Post a Comment