affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tum Hoti To Aisa Hota

Thursday 25 July 2013

Tum Hoti To Aisa Hota

 Main Banjara Waqt K Kitne Shaharn Se Guzra Hon Lekin,

Waqt K Is Shahr Se Jate Jate,

Mur Kar Dekh Raha Hon
Soch Raha Hon,

Tum Se Mera Ye Nata Bhi Toot Raha Hai,

Tum Ne Mujh Ko Chora Tha,

Jis Shahr Mein Aa K Wo Shahr Bhi,

Mujh Se Choot Raha Hai,

Mujh Ko Wida Karne Aaye Hain,

Wo Sare Din Jin K Kandhe Par Souti Hai,

Ab Bhi Teri Zulf Ki Khusbo
Wo Sare Lamhe,

Jin K Maathe Par Hain Roshan,

Ab Bhi Tumhare Lams Ka Tika,

Jab Thak Jaon Ga Tanhai K Teele Par Ja Kar Bethon Ga,

Phir Jaise Pahchan K Mujh Ko,

Ek Banjara Jan K Mujh Ko
Waqt K Agle Shahr K,

Sare Nanne Munne Bhole Lamhe,

Nange Paon Bhage Bhage Aa Jain Gay,

Mujh Ko Ghar K Bethain Gay,

Aur Mujh Se Kahein Gay Kion Banjare,

Tum To Vaqt K Kitne Shahron Se GuZre Ho,

Un Shahron Ki Koi Kahani Humain Sunao,

Un Se Kahon Ga,

Nanne Lamho,

Ek Thi Rani,

Sun K Kahani,

Sare Ghamgeen Lamhe,

Mujh Se Ye Poochain Gay,

Nam Aankho Se Gum Sum Mujh Ko Dekh Rahe Hain,

Mujh Ko Un K Dukh Ka Pata Hai,

Un Ko Mere Gham Ki Khabar Hai,

Lekin Mujh Ko Hukm-e-Safar Jana Ho Ga,

Waqt K Agle Shahr Ab Mujhe Jana Ho Ga,

Naye Shahr K Sab Din Sab Ratain,

Jo Tum Se Nawaqif Hon Gi
Wo Kab Meri Bat Sunein Gay,

Mujh Se Kahein Gay Jao Apni Rah Lo,

M O H S I N

Hum Ko Kitne Kaam Pare Hain,

Jo Beeti So Beet Gai Ab Wo Kion Darte Ho,

Kandhe Par Jholi Rakhe
Kion Phirte Ho Kia Pate Ho,

Main Bechara Ek Banjara
Awara Phirte Phirte,

Tum Kion Un K Shahr Na Aai,

Lekin Un Ko Bula Lon Ga
Un Se Kahon Ga,

Ye Mat Poocho,

Aankhain Munro Aur Ye Socho,

Wo Hoti To Kaisa Hota,

Tum Ye Kehti Tum Wo Kehti,

Tum Is Bat Pe Hairan Hoti,

Tum Is Bat Pe Kitni Hansti,

Tum Hoti To Aisa Hota,

Tum Hoti To Waisa Hota,

Dheere Dheere Sare Nahi Lamhe So Jain Gay,

Aur Main Hole Se Uth Kar
Waqt K,

Agle Shahr K Raste Ho Lon Ga,

Yehi Kahani Phir Dohrani,

Tum Hoti To Aisa Hota,

Tum Hoti To Waisa Hota................!

No comments:

Post a Comment