affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon

Saturday 7 September 2013

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.

Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.

kaha tha tum nay waday nibhao gay har haal main.

Na aanay ki qasam jo tum nay ab khali hai to kyon.

Tum kehtay thay keh bas zara mehfil sajnay to do

Mehfil main wah wah ka shor zara machnay to do

Tum hi to thay faqt is bazm main aik rang'e mehfil.

bhari bazm hai aaj nishist tumhari khali hai to kyon.

Ehd'e wafa torna hi tha is tarha to kiya tha kis lye,

Tumhari shiddat'e junoon, woh banawat thi kis lye,

baat baat par un afaaqi boson ki inaayat thi kis lye,

Naqaabon par naqaab tum nay charhali hai to kyon.

Itna to bata jaao tum mairay dil main ho ab kis lye,

Chaman hi ujar gaya to yeh abr'e karam hai kis lye,

Daagh nasoor ho gae hain jab to ab marham kis lye,

Dil main tum nay jo yeh itni jagah banali hai to kyon.

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.

Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.

No comments:

Post a Comment