affiliate marketing Famous Urdu Poetry: “Merey khuwaB”

Saturday 7 September 2013

“Merey khuwaB”

Zindagi ki dhoop main

Hum’safar k roop main

Banay jo mera saaibaa’n

Hon us main chand khubiyan

Wo khush shakal zaroor ho

Per us main na ghuroor ho

Chaal main waqar ho

Shokhiyon sey piyar ho

Guftugu main narm ho

Mizaj ka na garm ho

Bhaley sey woh ghareeb ho

Per shart hai shareef ho

Nafaasaton ki baat ho

Misal us ki zaat ho

Zarf baa’kamaal ho

Na dil main koi baal ho

Jo bazm ki woh jaan ho

Khuda ka bhi dhiyan ho

Dee’n ki sakht raah main

Day is tarah sey sath woh

Jahan bhi dag’magaaun main

Pakar lay mera haath woh

Faraib day na woh mujhay

Zindagi k morr parh

Kahin parrey na torrna,

Us se naata jorr karr

Haan aisa ho agar kabhi

Main bhool ker alam sabhi

Mai iss sulagti raah per

Uss ka haath thaam ker

Ye zindagi k roz-o-shab,

Mai huns k bus guzaar dun

Kerey wafa jo woh sada

To jaan us pe waar dun

Magr yeh khwab hain merey

Haqeeqaton se bey’khabar

Haqeeqatain to talkh hain

Aur talkh jaam pee k ab

Koi jhoomta hai kab

Sara nasha to zar main hai

Ya mai’kaday k dar main hai

Aur zindagi ki dhoop main

Hum’safar k roop main

Koi ban k mera saaibaa’n

Kyun piye yeh talkhiyan

Woh talkhiyan jo zindagi ki rooh ko nikhaar dain

Azeem ik waqar dain, aur aakhrat sanwaar dain

Ke ab nasha to zar man hai

Yeh mai’kaday k dar main hai

Aur…
Par merey khuwab hain abhi

Haqeeqaton sey bey’khabar...*

No comments:

Post a Comment