affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Sawal yeh nahin taron main roshni kyun hai

Wednesday 20 July 2016

Sawal yeh nahin taron main roshni kyun hai

Sawal yeh nahin taron main roshni kyun hai,
Sawal yeh hai kay tareek zindagi kyun hai…?
Sawal yeh nahin kyun dukh kay silsilay hain daraaz,
Sawal yeh hai k itni si ye kushi kyun hai…?

Sawal yeh nahin awargi hai mera mizaj,
Sawal yeh hai mujhay raat dhundti kyun hai…?
Sawal ye nahin darpaish maslay hain bohat,
Sawal ye hay mujhay in ki aagahi kyun hai…?
Sawal ye nahin kis ko pukarta hun main,
Sawal ye hay k awaaz guunjti kYun hai….?

No comments:

Post a Comment