affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Ek shakhs ko dykha tha by Parveen Shakir.

Wednesday 30 January 2013

Ek shakhs ko dykha tha by Parveen Shakir.

Ek shakhs ko dykha tha................ 

Ek shakhs ko dykha tha taron ki tarha hum ne

Ek shakhs ko chahan tha 
Apnon ki tarha hum ne
Ek shakhs ko samjha tha 
phoolon ki tarha hum ne

Wo shakhs Qayamat tha kiya os ki karen baten

Din os ke leay paida 
us ki hi thi raten
Kab milta ksi se tha 
Hum se thi mulaqaten

Rang us ka shahabi tha zulfon mein thi mehkaren
Ankhen then ke jadoo tha
 palken then ke talwaren
Dushman bhi agar dykhen 
sou jan se dil haren

Kuch tum se wo milta tha
Baton me shabahat thi
Han tum sa hi lagta tha
Shokhi mein shararat mein

Lagta bhi tm sa hi tha dastoor e mohabbat mein
 
Wo shakhs hamen ik din
Apnon ki tarha bhoola
Taron ki tarha dooba
Phoolon ki tarha toota 

Phir haath na aya woh hum ne bohot dhoonda

Tum kis leay chonkey ho?
Kab zikar tumhara hai?
Kab tum se shikayat hai?
Kab tum se taqaza hai?

Ik tazah hikayat hai Sun lo to inayat hai..........
Ek shakhs ko chaha tha apnon ki tarha hm ne..........

No comments:

Post a Comment