affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno....Aye Chand Si Larki

Sunday 10 March 2013

Suno....Aye Chand Si Larki

Suno...Aye Chand Si Larki
    Abhi Tum Keh Rahi Thi Na
    Tumhein Mujh Se Mohabbat Ho Nahin Sakti
    Chalo Mana k Yeh Sach Hai
    Magar Aye Chand Si Larki...!
    Mujhe Itna Bata Do Tum
    K Jab Mausam Badalte Hain
    Guloon Mein Rang Bharte Hain
    To Phir Kyun Muztarib Ho Ker
    Akele Pan Se Ghabra Ker
    Hawa Ko Raaz Deti Ho
    Mujhe Aawaz Deti Ho
    Suno....Aye Chand Si Larki
    Tumhare Samne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
    To Phir Kyun CHonk Jati Ho?
    Chalo Maana Tumhein Mujhse Mohabbat Ho Nahin Sakti
    Magar Itna Samajh Lo Tum
    Jahan Chahat Nahin Hoti
    Wahan Nafrat K Hone Ka Koi Imkaan Nahin Hota
    Mera Daawa Hai Chahat Mein
    Jahan Nafrat Nahin Hoti
    Wahan Aksar Yeh Dekha Hai
    Agar Kuch Waqt Kat Jaye
    Same Ki Dhool Chat Jaye
    To Wehshat Bhaag Jati Hai

    Mohabbat...Jag Jaati Hai...!

2 comments:

  1. thanks a lot, i was searching this poem but i found atlast after a long time, thanks again

    ReplyDelete
  2. sir can you tell me the name of poet of this poem?

    ReplyDelete