affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Kaha ussnay

Saturday 30 March 2013

Kaha ussnay

Kaha ussnay

Tab waqai mujhey tum sey muhabbat thi

Kaha mainay

Main tu ab bhi tum sey muhabbat karta hoon

Woh tab kii baat kerti hai

Main ab ki baat kerta hoon

Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai

Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta

Woh ab tak aa nahi saki

Main tab ko paa nahi sakta

No comments:

Post a Comment