affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Khawab Toot Jatay Hain

Thursday, 28 March 2013

Khawab Toot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain
Dostdar Lehjay Main Silwatain Si Parti Hain
Ek Zara Si Ranjish Say
Shak Ki Zard Tehni Pay Phool Badgumani K
Is Tarhan Say Khiltay Hain
Zindagi Say Pyaaray Bhi
Ajnabi Say Lagtay hain
Ghair Ban K Miltay Hain
Umar Bhar Ki Chahat Ko Asra Nahin Milta
Khamoshi K Waqfon Main
Baat Toot Jati Hai
Aur Sira Nahin Milta
Ma'zirat K Lafzon Ki Roshni Nahin Milti
Lazzat Pazeerai Ki Phir Kabhi Nahin Milti
Phool Rang Wadoon Ki Manzilain Sukartin Hain
Rah Murnay Lagti Hai
Berukhi K Gherai Say Bedili Ki Mitti Say
Faslon Ki Eenton Say Eent Jurnay Lagti Hai
Wehmon K Sai Say
Umar Bhar Ki Mehnat Ko Pal Main Loot Jatay Hain
Ek Zara Si Ranjish Say Sath Choot Jatay Hain
Bheer Main Zamanay Ki Hath Choot Jatay Hain

Khawab Toot Jatay Hain
Khawab Toot Jatay Hain

No comments:

Post a Comment