affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Tumhain jaan'na ijazat hai

Saturday 30 March 2013

Tumhain jaan'na ijazat hai


Tumhain jaan'na ijazat hai

Koi bhi rasta chun lo

Humaray muntazir tehro

Ya hum ko alwida keh do

Tumhain jaa'nan ijazat hai

Humaray paoon main tou

Waqt ki zanjeer liptii hai

Qabal is k, k thak jaoo

Humaray saath chal k tum

Mohabbat ki thakawat tum ko

Hum say bad-guma'an kar day

Qabal is k, k har aik

Har aik wapsi ki raah khoo jaye

Jo socha bhi nahi hum nay

Wohi kal ko jo ho jaye

Tumhain jaan'an ijazat hai

Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo

Ya hum ko alvida keh do

Humara tum say ye wada hai

Tumharai yaad ko hum tou

Sada dil k dareechay main

Youn he aabad rakhain gain

Tumhain hum yaad rakhain gain

Tumhain jaan'an ijazat hai

Tum apnay hosloon main jub

Thakawat see kabhi paoo

Kisi piyaray say mukhray ki

Haseen aankhon main kho jaoo

Ijazat hai tumhain jaa'nan

Agar is pal jo tum chahoo

Koi bhi faisla kar lo

Humaray muntazir tehroo

Ya hum ko alvida keh doo................. .....!!

No comments:

Post a Comment