affiliate marketing Famous Urdu Poetry: tum is dard say guzray ho na

Friday 29 March 2013

tum is dard say guzray ho na

woh rut jis men jal jati hain aankhen

tum par bhi guzri hai

woh shab jo mehtaab say tapkay

aansu aansu shabnam shabnam

woh shab mujh par bhi utri hai

woh din woh gharriyan so jaayen

lamhay pathar kay ho jaayen

woh din tum nay bhi kaata hai

woh din mein nay bhi kaata hai

donon kay jismon men roohon men

yaksaan dukh ka sannata hai

phir kyun mujh say poochtay ho tum

meri palken kyun pur'nam hain

aakhir mujh ko kaun say gham hain

tum is dard say guzray ho na?

No comments:

Post a Comment