affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Aisi hi sard shaam thi wo bhi

Tuesday 26 March 2013

Aisi hi sard shaam thi wo bhi

Aisi hi sard shaam thi wo bhi
jab vo mahandi rachaaye haathoon main
apani aahat key khauf sey larzan
surkh anchal main munh chupaaye huey
apane khat mujh se leney aaiy thi
us ki sehmi hoi nigaahon main
kitani khaamosh iltijaayein thin
us ke cheharey ki zard rangat main
kitani majabooriun key saaye they
mere haathon sey khat pakaratey hi
jaane kiya soch kar achaanak wo
mera shana pakar kar roi thi
us ke yaaqut rang honthon ke
kapkapaate hue kinaaron par
saikaron ankahi fasaaney they
sard shaamon main dair tak aksar
jab ye manzar dikhaai deta hai
aik lamhaa hinai haathon sey
mujh ko apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar naa jaa mujh sey
aisi hi sard shaam thi wo bhi

No comments:

Post a Comment