affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Hijr ka tara doob chala hai

Tuesday 29 January 2013

Hijr ka tara doob chala hai

Hijr ka tara doob chala hai

Hijr ka tara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkun ki barsat Wasi

Tere baad dunya wale mujhko pagal kardenge
Khushboo k dais mai mujhko le chal apnay sath Wasi

Yunhi chup ki mohar laga kar kab tab gumsum bethoge
Khamoshi se dum ghut'ta hai cherro koi baat Wasi

Aj tu uska chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mosam badla,dunya badli,badal gaye halat Wasi

Mere ghar khushboo ka ye raqs usi k dum se hai
Uske saath chali jayege phoolon ki baraat Wasi

Chor wasi ab uski yadein tujhko pagal kardenge
Tu qatra hai,wo darya hai dekh apni Auqat Wasi.....!!!!​

No comments:

Post a Comment