affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Dua-e-Saal-e-Nau

Tuesday 31 December 2013

Dua-e-Saal-e-Nau

Dua-e-Saal-e-Nau

Hai Tamanna Ke Saal-e-Nau Tujh Ko - 

Har Musarrat Se Humkinaar Kare

Khil Uthen Phool Tumhare Aangan Mai -

Tu Agar Khuahish-e-Bahar Kare

Tum Se Har Ranj Doorr Ho Jaye -

Har Khushi Tum Par Nisaar Ho Jaye

Tumhare Aangan Mai Qaafley Utrein -

Mohabbaton Ke Sitaaron Ke

Ho Ke Beqarar Uth Jaeen -

Qadam Tere Taraf Baharon Ke

Har Naii Subah Tumhare Daman Mai -

Mohabbaton Ke Chiraagh Jal Jaeen

Har Haseen Shaam Apni Khoobsurti -

Tumhare Naam Kar Jaye

Muskurata Sadaa Jeewan Rahe -

Tumhare Qadmon Mai Kayinaat Rahe

Shadmaani Sada Tumhara Muqaddar Ho -

Aane Wale Saal Tumhari Khushi

Jaane Wale Saal Se Barh Kar Ho.

No comments:

Post a Comment