affiliate marketing Famous Urdu Poetry: September 2013

Thursday 26 September 2013

Mere Shikway Ajeeb kitnay thay.

 Door Reh kar kareeb kitnay thay,
  Faslay bhi Ajeeb kitnay thay,

Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
  Is jahan mein Tabeb kitnay thay,

Umer bhar Sath jo raha Tere,
  Us k Achay Naseb kitnay thay,

Kyun na Aai me Tere sapno mein,
  Mere Shikway Ajeeb kitnay thay...*

Hawa, Tum janti ho sab


 Hawa,
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar,

chupke se sari dastaan tum ko sunaye thi,

Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi,

Jab ashk meri baat ke raste mein haayal the
Tabhi,

Jab lafz mere durd ki shidat se ghaayal the
Meri sochien,

Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta pallo sukhaya tha,

Hawa tum sun rahi thi na ke jab us ne kaha tha,

Muntazar rehna mein Aoon ga
Hawa,

Tum to gawa ho ke tan se ab talak
in rastoon se,

Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aye ho,

Hawa,

Wo aa raha tha na?
Hawa…*

Monday 23 September 2013

Mera Takia Arbooun Ka Bikta


Mera Takia Arbooun Ka Bikta 

Agar Aansouon Ki Koi Qeemat Hoti

Mujhe tooti hui Cheezon se ik bay-naam ulfat hai

Kisi b morh ya
aglay parao par,

Juda hi hum ko
hona hy,,

to

Aao phir,

Yahin apne Asason
ko alag kar lain,

Yeh jitnay zakhm
dil par hain,

Idhar meri taraf kar do,

K tum aksar ye
kehtay ho,

Ye sub meri
badolat hain,

Magar Thehro,

zara thehro..

Yahan kuch
khawab bhi hon gay,

Jo mil k hum ne
dekhay thay,

Suhanay khawab
tum rakh lo,

Adhooray sb
mujhe day do,

K meri yon be
aadat hay,

Mujhe tooti hui
Cheezon se ik
bay-naam
ulfat hai....

Wednesday 11 September 2013

Bikhra Wajood, Tootay Khuwab, Sulagti Tanhaiyaan

Mohabbat Sikha jati hai


Bikhra Wajood, Tootay Khuwab, Sulagti Tanhaiyaan,
.
.
. Kitnay Haseen Tohfay De Jaati Hai Ye Adhori Mohabbat…*

Yaad Karnay Ki Hum Nay Had hi Kr Di


Yaad Karnay Ki Hum Nay Had hi Kr Di...*
  Lekin,
  Bhool Jnay Mien Tum Bhi Kamaal Rakhtay Ho...*

baat zara si thi magar dil pay lagi bohot

 TUMHARA naam kisi ajnabi k lab pe tha ,
.
.
.
baat zara si thi magar dil pay lagi bohot...*

Saturday 7 September 2013

Barri ajeeb hai iss Nadaan Dil ki Khuwaish

 Barri ajeeb hai iss Nadaan Dil ki Khuwaish,

Aik Shakhs iss ka hona nahi Chahta aur ye usse khona nahi Chahta...*

Kon kehta hai mohabbat azeem hai??

 Kon kehta hai mohabbat azeem hai??
  yeh kis ne keh diya?
  K Mohabbat azeem hai,
  Mohabbat to bas chand be-tarteeb lafzoon ki tarmeem hai,
  Mohabbat jab rag-o-pe mein utar jaye,
  Aur manand khanjar dil mein utar jaye,
  To lahoo mangti hai,
  Jab ankhon ki dhool ban jaye,
  Aur rishton ki bhool ban jaye,
  To Abroo mangti hai,
  Mohabbat wo saheefa hai ke jise gar samjh ke parde lo,
  To khushboo ki tarah,
  Zahan-o-dil ke dareechoon mein jhankay aur jahan kisi lafz per ruk jao To justju mangti hai,
  bahar ki shaguftgi cheen laiti hai jo un khizaan rutoon ki tehreem hai,
  Aur masoom ankhoon ko jo milte hain un Azzaab khwaboon ki taqseem hai,
  kis ne kaha k ??? Mohabbat bad-e-naseem hai,
  yeah to bas chand lafzoon ki tarmeem hai,
  Ghamoon ki tehreem hai,
  Kon kehta hai Mohabbat Azeem hai …*???

“Merey khuwaB”

Zindagi ki dhoop main

Hum’safar k roop main

Banay jo mera saaibaa’n

Hon us main chand khubiyan

Wo khush shakal zaroor ho

Per us main na ghuroor ho

Chaal main waqar ho

Shokhiyon sey piyar ho

Guftugu main narm ho

Mizaj ka na garm ho

Bhaley sey woh ghareeb ho

Per shart hai shareef ho

Nafaasaton ki baat ho

Misal us ki zaat ho

Zarf baa’kamaal ho

Na dil main koi baal ho

Jo bazm ki woh jaan ho

Khuda ka bhi dhiyan ho

Dee’n ki sakht raah main

Day is tarah sey sath woh

Jahan bhi dag’magaaun main

Pakar lay mera haath woh

Faraib day na woh mujhay

Zindagi k morr parh

Kahin parrey na torrna,

Us se naata jorr karr

Haan aisa ho agar kabhi

Main bhool ker alam sabhi

Mai iss sulagti raah per

Uss ka haath thaam ker

Ye zindagi k roz-o-shab,

Mai huns k bus guzaar dun

Kerey wafa jo woh sada

To jaan us pe waar dun

Magr yeh khwab hain merey

Haqeeqaton se bey’khabar

Haqeeqatain to talkh hain

Aur talkh jaam pee k ab

Koi jhoomta hai kab

Sara nasha to zar main hai

Ya mai’kaday k dar main hai

Aur zindagi ki dhoop main

Hum’safar k roop main

Koi ban k mera saaibaa’n

Kyun piye yeh talkhiyan

Woh talkhiyan jo zindagi ki rooh ko nikhaar dain

Azeem ik waqar dain, aur aakhrat sanwaar dain

Ke ab nasha to zar man hai

Yeh mai’kaday k dar main hai

Aur…
Par merey khuwab hain abhi

Haqeeqaton sey bey’khabar...*

Kitney Suljhay Hoye Tareeqay Se

 Kitney Suljhay Hoye Tareeqay Se,
.
Mujh Ko Uljhan Main Daal Jaatay Ho...*

Komal Si Ek Larki

 Dard Ke Azab Mein Hai Jakri Hui
Komal Si Ek Larki,

Mujh Se Hai Dur Or
Musalsal Jheel Rehi Hai Dard
Komal Si Ek Larki,

Use Soch Soch Kr,

Use Dekh Dekh Kr,

Dard Ki Shiddat Ka Andaza Hua Nazim
Kis Qadar Ankhon Se Hai Barsi Dard
Komal Si Ek Larki,

Lagta Hai Apno Ne
Hain Kiye Us Pe Jadu Tone,

Gum Sum Madhum Madhum
Wehshat Zada Hai
Komal Si Ek Larki,

Us Ko Azad Karwana
Apna Nam Dena ,

Mera Ek Hi Maqsad Hai AfZaAl
Meri Nas Nas Mein Hai Samai
Khusho Jesi
Komal Si Ek Larki...*

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA

 UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
TO YE B LIKHNA
UDAAS AANKHEN,
SHAHAAB,TAARE BADAL GAYE HAIN,

WO ZINDA LAMHE
JO TERI RAAHON MAIN
 TERE AANEY K MUNTAZIR THAY
WO THAKK K SAAYON MAIN DHAL GAYE HAIN

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
 TO YE B LIKHNA

WO TERI AANKHEN,KHYAL TERE,
WO RANJ TERE,MALAL TERE,
WO TM SE MERE TMAM RISHTE
BICHAR GAYE HAIN,UJAR GAYE HAIN

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
TO YE B LIKHNA

LARZTEY HONTON PE
LARKHRATI DUA K SOORAJ PIGHAL GAYE HAIN

“TMAM SAPNEY HI JALL GAYE HAIN”

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA...*

Ek Kasak Jo Lafzo’n Ki

 Ek Kasak Jo Lafzo’n Ki
Aagosh Me Sisak Rahi Thi,,,
Ek Dua Jo Door Arsh Pe
 Bhatak Rahi Thi,,,

Wo Dua Jo Tuutey Dil Sy
 Nikal Rhi Thi,,,
Wo Dua Jo 2 Labo’n Pe
 Machal Rahi Thi,,,

Kaash !!!
Ek Shaam Wo Laut Aaye,,,
Ya Kaash !!!
Wo Shaam Laut Aaye,,,

Is Dil Ne Bohat
Usay Chaha Tha,,,
Hum Ne Rab Sy
 Bas Usy Hi Maanga Tha,,,

Pr Meri Dua Tou
Kahin Arsh Pe Hi Kho Gai,,,
Aur Phr Taqdeer B
Andhera Aurh k So Gai,,,

Aur Phir Zabt Ka Daaman
 Hum Sy Chooth Gaya,,,
Ek Tuuta Hua Dil
Aur Bhi Toot Gaya …*

Ajeeb Hunar Hai Meray Hathon Main

Ajeeb Hunar Hai Meray Hathon Main

 Shairy Likhnay Ka



Main Apni Barbadiyan Likhta Hon

 Log Wah Wah Karty Hain...*

Wo Khoob Likhta Hai

 Dard e Dil Ki Kahani Bhi
 Wo Khoob Likhta Hai,
.
.
.
  Kahin Par Bewafa To  Kahin Mujhe Mehboob Likhta Hai...*

Parhi Ek FaaTiHaa Mujh Pr

 Bataya Main Ne Mehfil Me ,

MuHabbaTT Ho Gai Mujh Ko

Mere EhbaaB Ne Mil Kr,

Parhi Ek FaaTiHaa Mujh Pr...*

Kadam Kadam Pr

 Usy Pata Tha Main Uski Khooj Me Niklon Ga
Wo Qatra Qatra,

Kadam Kadam Pr,

Zara Zara sa Bikhar Gya...*

Ye Shairy To Meri Dosri Himaaqat Hy...*

 Main Is Se Pehle Muhabbat Me Mubtila Hua,

Ye Shairy To Meri,

Dosri Himaaqat Hy...*

Tum Dil Se Nahi Kehte

 So Baar Kaha Khud Se.

Wo Koi Nahi Mera.

Her Baar Sadaa Aai Tum Dil Se Nahi Kehte...*

kahin tera hath na jala dy

 Mat kuraid mere dil ki rakh ko,

 hans kr isy hawa na de ,

ye agg to phr agg hai,

kahin tera hath na jala dy...*

Kisi ko khawb piyary hain

 Kisi ko neend aati hy,

mgr khwabon se nafrat hy,

Kisi ko khawb piyary hain,

mgr wo so nahi sakta...*

Baat Wafaon Ki Hoti

 Baat Wafaon Ki Hoti,

To Na Haarty Hum,

Khail Naseeb Ka Tha Usy Kis Tarha Qayal Karte...*

Judai Jab Muqaddar Hai

 Suno! Ye Khwab Rakhy Hain Inhain Tum Sath Le Jao,

Judai Jab Muqaddar Hai,

Bina Khwabo K Jee Lain Gy...*

Zindagi Be-Sabab Udaas Nahi

 Rooh Me K0i Gham Hai Poosheeda,
.
.
.
Zindagi Be-Sabab Udaas Nahi...*

TaB BoojH MuhabbaT LagtI HaI

 JaB JazbY ThandY PaR JaaiN,
.
.
.
TaB BoojH MuhabbaT LagtI HaI...*

faqat itna kaha tha na

 faqat itna kaha tha na,

hamain tum se muhabbat hai,

hamari jaan lo gy kya zara si baat k peechy...*

Mohabbat Akhri Saya

Bohut Ghoomi Jahan Bher Main
Mujhey Awargi Ley Ker
Kabhi Sehra Sumander Main
Kabhi Duniya Key Mailon Main
Kabhi Jangel Main Bhatkaya

Ajab Wehshat Lahoo Main Thi
Nazar Bhi Justajoo Main Thi
Kai Chehrey They Ankhon Main
Unhi Chehron Ki Khuwahish Main
Her Ik Manzil Ko Thukraya
Sukoon Phir Bhi Nahi Paya

Bohut Ghooma Jahan Bher Main
Tu Phir Akhir Khula Mujh Per
Woh Jis Ko Chor Aya Tha
Main Apney Hijr Main Jalta
Wohi Sachi Mohabbat Thi

Usi Ki Yaad Key Moti
Baney Jeewan Ka Sarmaya
Mohabbat Akhri Manzil
Mohabbat Akhri Saya...*

Main bhi kitni pagal hoon na

Main bhi kitni pagal hoon na,

Sang hawa k urna chahoon,

Titli ban kr nargi nargi,

Gulshan Gulshan phirna chahoon,

Phooloon k sab rang chura kar ,

Chunri apni rangna chahoon,

Main bhi kitni pagal hoon na:

Chandni shab ko khunak hawa main ,

Chand nagar ko jana chahoon,

Amber k ik ik taary ko ,

Daman main bhar lena chahoon,

Bhaag k sarey nanhey jugno,

Muthi main band karna chahoon,

Main bhi kitni pagal hoon na:

Kabhi kabhi un nazroonk main,

Gongey sapney parhna chahoon,

Uss ki sochoon k zeney per,

Nangey pa,oon main charhana chahoon,

Janti hoon na_mumkin hay ye

phir bhi kitni pagal hoon main,

Janey kya kya krna chahoon,

titli,Khushbo badal ban ker

sang hawa k urna chahoon.

MAIN BHI KITNI PAGAL HOON NA…*

Muhabbat kam nahi karna

koi bhi rog de dena
koi bhi naam de dena

nahi subah suhani to

ghamon ki shaam de dena...

magar itni guzarish Hay...

meri taariq raaton se

tum apni chahton ki Lau

kabhi maddham nahi karna

Muhabbat kam nahi karna...*

Mein huns ker taal deta hoo'n

Kis sooch may doobay rehty ho ?

Kyon soay soay Bethay ho ?

Koi mujh say jub yeh pochta hay

Keh kis ko yeh dil pojta hay ?

Kuch lafz uchhal deta hoo'n

Mein huns ker taal deta hoo'n...*

L0g MerY LafzOn Ko Moti Se Tasbeeh DaitY Hain

L0g MerY LafzOn Ko Moti Se Tasbeeh DaitY Hain

WO kEhtY Hain

Ap K Lafz HamarY LiYe Boht Qeemti Hain

Aap Ki Sha,irY Hum ApnY Piyar0n KO Likh Kar BhejtY Hain

Unhain Apni Chahat Ka Ehsas DilatY Hain

Aur Yun K Phir Wo HamarY Ho JatY Hain

Aap K Lafz HamarY LiYe Roshni Hain

Zindagi Hain

Unhain KyA BataOn

K Mujhe ApnY Lafzon Se Kitni Shikayat Hai

Ye Us Waqt Chup Ho GaYe

Jab Inhain BoLna Tha...*

ussey kehna k Hum khush hain

Suno...
ussey kehna k Hum khush hain,
Bas..
unki Yaadein satati hain!~~!~

unki Doori ka ghum nahi....
bas Zara
palkein
bheeeeg Jaati hain...*

Pagli Kahen Ki

~* Pagli Kahen Ki*~


Ye Larki to...

Phool se mukhtalif hay

Aadhi Muhabat mery samny

aur.....

Aadhi Muhabat Chup K Karti hy...

Aadhi raat ko Aadhy Chaand se

Baatein Krti rehti Hy...

Wo baatein jo Mujh se krty

Uss K hont aur Uss ki saansein

Ruk Jaati hn

Uss ki palkein Jhuk Jaati hn

Aadhi raat ko Takiye K Neechy

Rakhi Meri Tasveer Ko...

Dekhti rehti Hy

Phir Khud se Sharma Kr

Takiye mein Mun chupa kr

Dair Tak Hansti rehti hy..!!!

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.

Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.

kaha tha tum nay waday nibhao gay har haal main.

Na aanay ki qasam jo tum nay ab khali hai to kyon.

Tum kehtay thay keh bas zara mehfil sajnay to do

Mehfil main wah wah ka shor zara machnay to do

Tum hi to thay faqt is bazm main aik rang'e mehfil.

bhari bazm hai aaj nishist tumhari khali hai to kyon.

Ehd'e wafa torna hi tha is tarha to kiya tha kis lye,

Tumhari shiddat'e junoon, woh banawat thi kis lye,

baat baat par un afaaqi boson ki inaayat thi kis lye,

Naqaabon par naqaab tum nay charhali hai to kyon.

Itna to bata jaao tum mairay dil main ho ab kis lye,

Chaman hi ujar gaya to yeh abr'e karam hai kis lye,

Daagh nasoor ho gae hain jab to ab marham kis lye,

Dil main tum nay jo yeh itni jagah banali hai to kyon.

Aaj kal dil maira is qadar jo khali khali hai to kyon.

Aanay wala har saans mujh say sawaali hai to kyon.

"GuRiYaa"

Wo boli "Koun aksar yaad aata hai udaasi main?


" Main bola "Kuch puraane raaste, bachpan, aur Ik Larki."

Kal Raat GuRiYa Mere GaLay Se LAg Kar Itna Roii

Kal Raat GuRiYa Mere GaLay Se LAg Kar Itna Roii

Jaise Meri Tarha BarBad usse Bhi Koi Kar Gayaa....!!!

Ab Tere Khawab Kon Daikhe Ga?

Meri Nendain Uraane Waly,,.......
 
Ab Tere Khawab Kon Daikhe Ga?

Tum Jazbaat Se Aari Thy

Ik Bou'seeda Kitaab
Likhaai Madham
Is Main Aik Nazam "Ista'ara" Thi

Tum Samjh Na Sakay
Tum Jazbaat Se Aari Thy
Tum Mehsoos Na Kar Paye

Jab Tum Nazm Parh Rahe Thy
Main Ro Raha Tha
Main Tumhein, Dekh Raha Tha...*

Seedhi Si Baat Hai

 Lafzon Ki Banawat Mujhko Nahi Aati,

Mujhe Tum Se Pyar Hai,

Seedhi Si Baat Hai...*

Ek Tere Sharmaany Se

 Rukh pe Paseena
Taiz Tanaffus,

Naadim sa Ehsaas-E-Wafa,

Hum Pe Kya Kuch Beet Gya
Ek Tere Sharmaany Se...*

Main Pagal Hun...?

 Teri Yaadon ki Ulfat Se saji Hai Zindagi Meri,

Main Pagal Hun...?

Jo Tujh ko Bhool k Viraan Ho Jaon…*

Main chup reh kar 'Shab-e-Tareek' pey Ahsaan Karta hoon

 Preshan Raat Ho Jaye, Jo apni Dastaa'n Keh doon,
.
.
.
Main chup reh kar 'Shab-e-Tareek' pey Ahsaan Karta hoon...*

Aankhon main teri aaj yeh aansu fazool hain

 Rootha tha jis gharoor say woh bhi to yaad kar,
.
.
.
Aankhon main teri aaj yeh aansu fazool hain...*

Sharminda hoon aaj bhi

 Sharminda hoon aaj bhi
In phoolo'n say
Jin ko Tere liye
Tehni se juda kiya!!
.
.
Or wo Meri hi
Kitabo'n main sookh gaye,
Tera Intezaar kartay kartay...*