affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Suno Ye Daastan Apni

Saturday 31 May 2014

Suno Ye Daastan Apni

Suno Ye Daastan Apni, Mere Gurya K Wadon Ki
Muhabbat Thee Ussay Mujh Se, Ya Thee Woh Pagli Dewani?
Main Kaise Bhool Paonga, Lab-O-Rukhsar, Gaisoo Aur Woh Batain
Gawah Hain Aaj Bhe Koil, Darakht Aur Jheel Ka Paani…
Haqeeqat Thee Ya Ik Sapna, K Jab Woh Mujh Se Kehti Thee,
Jahan Per Koi Na Hoga, Tumhara Saath Main Dongi,
Kabhi Jab Tum Pukarogy, Tumhary Paas Aaonge,
Kahin Na Tum Bathak Jao, Tumhara Haath Thamongi,
Kisi Pal Door Jao Tu, Tumhari Raah Daikhongi,
Tumhary Raastoon Main, Apni Palkon Ko Bichaoongi,
Muhabbat Goud Main Bhar Kar, Tumhay Jhola Jhulaaongi…
Tumhary Aansoon Main Naachty Sub Ghum
Main Chupkay Se Chura Longi,
Tumhary Bheeghti Palkoon K Sub Moti,
Main Dil Main Jazb Kar Loongi
Tumhay Baanhon Main Bhar Kar
Sub Ghamoon Se Main Chupha Longi
Tumhary Lub…
Guloon Se Main Saja Doongi,
Tumhari Chahatoon K Aayenon Main, Shamayn Jala Dongi,
Tumhary Paanoon Main Kaanty Na Chub Jaayen
Khizan Ke Raakh Main Rasty Bana Dongi…
Main Sapno Se Saja Dongi, Tumhary Neend K Dar Ko,
Sitaroon Se Main Bhar Dongi, Sabhi Viraan Shamoon Ko,
Tumhary Kaanch K Ghar Ko Main Shabnam Ka Bana Dongi…
Main Saanson K Tapash Se Moom Kar Dongi, Tumhary Sird Jazboon Ko,
Tumhary Khaab Na Tooty, Main Saari Raat Jagongi…
Zara Tum Paas Tu Aao, Mera Ye Haath Tu Thaamo,
Pukaro Naam Ko Mere, In Aankhon Main Zara Jhaanko,
K Muddat Se Jo Ik Faryaad Main Doobi,
Tumhari Yaad K Sehraaon Main Darya Banati Hain,
Ye Gaisoo, Jo Hai Manand In Ghataaon K
Ye Lab, Jo Pankhree Ke Naazki Se Bhe Dilawar Hain,
Ye Tum Se Kuch Nahi Kehty, Sivaye Aik Jumlay K,
“Tumhara Saath Bus Ik Ho”, Tu Sub Manzoor Hai Mujh Ko…
Qasam Hai Mujh Ko Uss Rab Ke, Main Har Ik Dard Seh Longi,
Tumhary Saaye Main Jee Kar, Main Har Dukh Ko Bhula Dongi,
Tumhara Aastan Bus Ho, Kahin Na Tum Bichar Jaao,
Tumhe Tu Mery Sub Kuch Ho, Tumhary Waasty Main Kuch Bhe Kar Longi,
Wafa Gar Tum Karo Pori, Agar Wada Nibhao Tu….
Kisi Ne Gar Koi Patthar Uthaya Phir, Koi Bhe Rah Main Apni Jo Aaya Tu,
Main Phir Ik Hashr Kar Dongi, Ye Ghar Viraan Sub Hongy,
Agar Bus Main Howa Mery, Main Har Dar Ko Mita Dongi,
Mery Kiss Kaam Ke Dunya, Main Iss Ko He Jala Dongi.
Mere Gurya, Mere Gurya….
Kahan Hai Saath Woh Tera, Kahan Hai Haath Woh Tera?
Woh Palkain Kiss Ke Hain Ab, Kon Jholta Hai Tera Jhoola?
Woh Mouti Jazb Kar Lo Na, Woh Ghum Kab Tum Churaogi?
Woh Shamayn Kab Jalogi, Woh Rasty Kab Banaogi?
Mere Jazboon Ka Kya Hoga, Mere Sapno Ka Kya Hoga?
Wafa Tu Aaj Bhe Qaim Hai, Phir Qasmoon Ko Kion Toura…
Mere Dunya Jala Dali, Yeh Ghar Viraan Kar Dala...!

No comments:

Post a Comment