affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Wo kaha karta tha

Monday 12 May 2014

Wo kaha karta tha

Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha

2 comments:

  1. ab ke ham bichde tow shaayad kabhii Khvaabon mein milen
    jis tarah suukhe hue phuul kitaabon mein milein

    Dhuundh ujde hue logon mein vafaa ke motii
    ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein milein

    tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
    donon insaan hain to kyon itne hijaabon mein milein

    Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
    nashaa badataa hai sharabe.n jo sharaabon mein milein

    aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
    kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milein

    ab na vo main huun na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
    jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein milein

    ReplyDelete
    Replies
    1. Suna hy aaj kal woo preshan rehti hai
      Usse kehna be-fikar main bhi nahi hoon

      Suna hay wo gumsum rehti hai
      Usse kehna hazir zehan main b nahi hoon

      Suna hay wo raaton ko jaga karti hai
      Usse kehna sota main bhi nahi hoon

      Suna hay wo chup chup ke roti hai
      Usse kehna hansta main bhi nahi hoon

      Suna hai wo mujhe yaad buhat karti hai
      Usse kehna bhoola main b nahi hoon

      Suna hy usne wafa ka daawa kia hai
      Usse kehna bewafa main bhi nahi hoon

      Delete