affiliate marketing Famous Urdu Poetry: Rait Ghar

Sunday 10 March 2013

Rait Ghar

    Main hoon jis makaaN ki chhatt talay
    mera ghar nahi
    tera naam darj hai jiss jagah
    tera dar nahi

    tujhay yaad hai!
    tujhay yaad hai kisi shaam ham ne banaaya tha
    kahin aik chotta sa rait ghar
    ussi rait se, ussi rait par.
    usi rait par(
    jo thi raah mein kisi moj ke
    kabhi apnay honay ke dheyaan mein
    kabhi mu’jizon ke gumaan mai)

    hamay ilm tha,
    hamay ilm tha keh woh rait-ghar
    jo thai muntazir kisi moj ke
    unhay toot jaanay se roknay ka khayaal amr-e-mahaal hai
    issi moj-o-raig ke khail se hi bahaal hai
    woh talaazma,
    wohi raabta, jissay maan-ne kay fishaar mein
    rah-e-aagahi ke saraab bhi
    sabhi khuwaab bhi
    issi aik lamha-e-mukhtasir ke hisaar mein hai ghira huwa
    khatt-e-raig bhi, kaff-e-aab bhi

    par ye daastaaN,
    to thi tarjumaaN, kisi khail ki
    ussi khail ki
    jissay khailtay hamay aa liya kisi raat ne
    ussi raat ne
    jissay apnay khooN se jawaaN kiya
    meray shoq ne, teray saath ne
    kisi an-chuway se khayaal ne
    kisi door hoti si baat ne

    tujhay yaad hai, mujhay yaad hai,
    woh jo baat ki barri dair tak
    meray haath say, teray haath ne!

    kahaan tha gumaaN, kissay thi khabar!
    jo kaha tha shoq ki lehar ne
    jo likha tha rait ki loh par
    ussi aik shaam ka khail tha
    ussi aik pal ka jamaal tha
    ussi khail mai
    ussi shaam ko

    woh jo rait-ghar se bikhar gaey
    woh jo aik pal mein ujarr gaey
    meray khuwaab thay!
    teray khuwaab thay!

No comments:

Post a Comment